Food Poisoning Tips Haizay Ka Ilaj In Urdu





Food Poisoning Tips


Food Poisoning (Digestive System)ki aik mohlik marz hai jog air mayari khurak or deegar biarion ki waja sy lahaq ho sakhti hai is marz sy bachao ki chand tadabeer or tareekay darj zail hai.

Food Poisoning Natural Tips


Hamesha khana kahay sy pehlay sabun sy hath dhoye is sy na sirf ap maidy ke amraz sy mehfooa rahay gy belkay jildi amraz sy bi nijat hasil ho gi.


Pani hamesha ubaal kar istamal karay q ke food poisoning ka eham sabab alooda pani bi ho sakhta hai.

Khana hamesha taza or saaf suthra khaye q ke basi khana khany sy zehreelay maday paida ho jaty hain jo maidy ke amraz ko janam dety hain.

Phaal or sabziyan taza or dhoo kar khaye q ke sabziyan or phaal ke mandion mai anay tak esy kai marahil atay hain jo sabzion or phalon ko aloda kar dety hain.

Bazari or karkhanon ki baraf sy parhaiz kary q k ye saaf or filter shuda pani sy nahi banai gai hoti.

Gair mayari or chat pati bazari khorak maidy mai ja kar kai amraz ki waja banti hai khas tor par food poisoning.

Kacha gosht dosri khanay wali cheezon sy door rakhay q ke kham gosht mai chand esy jaraseem or bacteriya hoty hain jo sehat ke liye nuqsan dah hoty hain.

Gosht ko agar frizar mai rakha gaya ho to 2 din sy zayada arsa ke bad istamal na kary 2 din bad na sirf gosht ki gazaiyet mutasir hoti hai belky wo gosht sehat ke liye bi muzhar hota hai.

Food poisoning or deegar mayday ke amraz gair miyari khurak or aloodagi sy janam lety hain is liye in tamam amraz khasosan food poisoning sy bachao ke liye safai ka khas khayal rakhay.

Post a Comment

 
Top