Health Tips



Health care Tips


Aik achi sehat k hasool ke liye hum her wo kam karty hain jo karny ke liye kaha jata hai jaisa ke kam khana warzish karna etc amoman wo log jo khush khurak hoty hain wo bi esy waqat mai kisi sy pichay nahi rehty magar hum in tamam ehtayaton ke bawajood kahi na kahi koi chor darwaza dhond hi lety hain jis ki waja sy hum sab ki nazar bacha kar kuch na kuch bud ehtayai kar hi lety hain or nateejan hum aik axhi sehat ko barqarar rakhny mai nakam rehty hain lekin hum apko esy bohat sy chor raston tak rasai dy sakhty hain jin ki waja sy apki sehat par koi asar nahi pary ga bus zail mai di gai hamari malomat parhay.


Apka Dil


Apko bohat sy warzashi progaramon mai adhay ghantay ki 5 din ki warzish ki hadaiyet ki jati hai magar ap mai aksar is hadayet pr kam hi asar karty hain is liye bajaye iske ke ap adhay ghanty ki warzish kary is sy behtar hai k ap roz 10,15 minute ki walk kar liya kary ye apki sehat ke liye behtareen hai.

Apka Nashta


Apke liye zarori hota hai k ap subho kam az kam sehat mand nashta kary ta ke apki sary din ki anergy ke zaya honay ki surat mai mutbadal ban saky magar ap mai sy bohat kam log halka phulka nashta lety hain zayada tar nashty ko nazar andaz kar dety ahin is liye is sy behter hai k ap apny sary din ki zarorat ke liye phaal rakh lay jesa ke aik apple,banana kuch dry fruit’s or juices etc ta ke ap zaya ho jany wali anegy ko hasil kar sakhay.

Ap Ki neend


Aath ghantay ki neend tazgi or yaksoi sy kaam karny kay liye bohat zarori h jo high blood preshure,kamzori or motapay say bachati h lekin asal mai bohat kam log aath ghantay ki neend lay patay hain neend tension or bimari sy bachnay k liye boht zarori h raat ko sonay ki ruteen bana lay or is ruteen sy kabi gaflat na bartay ta kay apki neend ki aik ruteen ban sakhay or ap behtareen neend kay asraat mehsoos kar sakhay.

Yaad rakhiye apni sehat kay sath utani hi bad ehtayati kary jo qabl e qabool ho.Aik achi sehat aik khushguwar zindagi banati h.

Post a Comment

 
Top