Subho Ki Sair Or Warzish Ko Mamol Banayain


Lambi umer ka inhisar bohat ha tak khawateen ki achi sehat per bhi hota hai achi khurak sy wo bimarion sy mehfooz rehti hain achi khurak wo hoti hai jis mai tamam gazai ajzaa maslan lehmiyat, carbo hydrate, protein, folad etc.



Healthy Tips For Life


Electronic aalat nay zindagi ko nihayet asan bna diya hai or ab khawateen gharelo hathon sy karnay ki bajaye machines ka istamal karti hain jis ki waja sy khawateen main joron or phathon ki takaleef barh jati hai esi khawateen ki tadadmain roz broz azafa hota ja raha hai jo dil ki bimarion, cancer or daiger amraz main mubtila hain inke liye zarori hai ke wo apny roz mara ke kam apny hathon sy karay mahreen ke mutabiq subho ki warzish or sair umer ko barha deti hai or chati ke cancer, sugar ki bimarion ke khilaf tahafuz fraham karti hai 30 sy 40 saal ki umer ki khawateen ko chahiye ke wo subho ki sair ko apna mamol bna lain jis ke liye chand batain gor talab hain.



Health Tips


Rozana subho sawaire neend sy baidar ho jayain or namaz sy parhnay ke bad sair karnay niklain.

Sair karty waqat halki halki warzish bhi karain maslan hathon ko ghumain, hathon ki unglion ko khol ker band krain or garden or pairon ki warzish karain.

Warzish karty waqat halkay or dheelay dhalay kapray pehnain.

Rozana warzish karny ki adat dalain.

Subho ki sair ko niklain to sandal ya sleeper etc hargiz na pehnain belkeh canvas ke jootay pehnain.

Warzish ya sair kartay waqat agar paseena aye to behnay dain paseena ko hergiz nap unchain.

Sair ke waqat hari ghaas per chaplain or lambi lambi saansain lain.

Sair or warzish karnay ke bad pani na piyain taqreeban 20 ya 25 minute ke bad kuch bhi khayain ya piyain.

Warzish karnay ke foran bad pankhay ki hawa main hergiz na baithain.

Ye chand esi batain hain jin per khawateen amal paira ho ker apnay apko sehat mand rakh sakti hain.

Post a Comment

 
Top