Daag Dhabbe Hatane Ke Gharelu Nuskhe





Face Ke Daag Dhabe Remove Karne Ki Tips



Chehry pr nikalnay waly dano k nishan baz uqat reh jatay hain jo k bohat hi buray lagtay hain inko khatam karnay k liye aik piyalay m 4 tea spoon beshan 2 tea spoon honey 1 egg lemon ka araq or half tea spoon haldi shamil kar k inka past bana ly is past ko chahray pr 15 minute k liye laga renhy dy us k bad chehry ko axhay soap sy wash kar ly or wash kar k axhi si cold cream lagaye is amal ko week m 2 dafa kary apk face k nishan ahista ahista katam ho jaye gy.

Chehray Kay Bad Numa Dag Dhabay Or Un Ka Alaj


Chehray kay dag dhabay hatanay kay liye doodh,balai or mukhtalif phalon kay russ istamal kiye jatay hain q kay ye tamam ashya halkay bleach mai shamar kiye jati hain jesa kay sangtara matadal toner h or is kay russ ko bleach kay tor par istamal kiya jata h grape fruit Paine apple ka russ jild ko saaf rakhta h or isay mutaharik banata h.



Lemon ka rus 3 martaba kapray sy chana howa, 2 tola arq e gulab,seh atisha 2 tola,glaisreen ala 2 tola sab cheezon koaik shishi mai dal kar yak jaan kar lijiye chehray ki khubsurti barhanay kay liye aik behtareen cheez tayar h din mai kam az kam 3 martaba istamal karna bohat mufeed h chehray ki rungat nikhar ati h or jild resham ki tarhan naram ho jati h.

Chehray ko jhurion sy bachany kay liye doodh ka istamal nahayet zarori h q kay munasib miqdar mai chiknai jismani azaa ki taro tazgi ko barqarar rakhti h taza doodh sy chehra dhonay sy rungat nikhar ati h or khubsurti mai izafa hota h.

Thandi malai aik chamach,shehad aik chamach in dono ko apis mai mix kar lay ye aik paist si ban jaye gi phr isko apnay chehray par laga lay 20 minute tak laga rehnay dy is kay bad apnay chehray ko taza pani sy dhoo lay is ka istamal rozana kary is sy apkay chehray kay dag dhabay khatam ho jaye gy.

Lemon kay chilkay pees kar doodh mai milaye or raat ko sonay sy pehlay chehry par lagaye rung saaf hona shuro ho jaye ga.

Post a Comment

 
Top