Sir Dard Ki Desi Tips Kharish Ka Ilaj Healthy Tips




Health Treatment Tips 


Garmi k atay hi bachon or baron m khujli or kharish shoro ho jati h jisy hum garmi danay kehty hain in garmi danon ko khatam karnay ka asan garelo nuskha h piyaaz jo k hum khanay m istamal karty hain piyaaz k russ ki malish karny sy khujli or garmi danay khatam ho jatay hain or phr kabi ni hoty

Sir dard her shaks chahy wo chota ho ya bara sb k liye bohat bara masla h bohat sari tehqeek hoi hain sir dard ko kesy khatam kiya jaye hum apko aik asan tareeka bataty hain aik piyaaz ly usko koot kar usay songay is sy apk sir ka dard ahista ahista khatam ho jaye ga.


Garmi Say Agar Sir Dard Ka Arza Ho to!

Adha kilo dhood mai 3 kilo imli 1 ghainta tak bhagoye imli ko garam pani say dhoo kar bhagona h phr isay aag par josh dy jab dhood phat jaye to panseer phaink dy or dhood kay pani mai misri mila kar subho kay waqat pee lay 3,4 din kay istamal sy her qisam kay garmi ka dard barson purana bi ho to jata rahay ga.

Adhay sir ka dard ho to 6 ya 7 kali mirchay taway kay upar garam kar lay phr lambay lambay sans lay sir dard ko aram mil jaye ga .

Agar sir dard ho to thory sy koilay jala kar un pay chini chirak day is kay dhooway sy sir dard khatam ho jaye ga.

Piyaz kat kar sunghanay,roi lemon kay araq mai tar kar kay paishani pay malnay par,karak chaye mai adha chamach lemon nichor kar or sir par zatoon ka tail laganay say sir dard ko door kiya ja sakhta h is kay alawa thandak ya sard hawa ki waja sy sir dard ki surat mai dar chini bareek pees kar is mai thora sa pani dal kar laip tayar kijiye or isay paishani or kan pati parlaip karay sir dard ka fori aram mil jaye ga.

Post a Comment

 
Top