Meda Ki Jalan Ka Ilaj Tamatar Ke Fayde


Khoon Ki Safai 


Khoon ki kami bohat bara masla h ye bimari khas kar bachon m pai jati h timatar ka istamal karnay sy khoon ki kami pori hoti h or timatar khoon ko saaf karta h jis sy chery ki rangut saaf or chamakdaar hoti h tamatar ko khanay sy meda ki jalan kam hoti h meda ko saaf karta h motapa khatam karnay k liye aik bara tamatar subho nihar moon khanay sy motapa dino m kam hota h.

Maiday Ki Tazabiyat


Aik orange ka juice nikal kar 1/2 chaye ka chamcha bhuna howa zeera or aik chutki kala namak dal kar din mai do martaba piye.

Aik glass doodh mai do khanay kay chamach ispagol dal kar her khanay kay bad piye is kay alawa achar.chatpatay khanay,junk food or bohat zayada mathai khanay sy parhaiz karay.


Khoon Ki Kami Door Karny Ki Tips


Khoon ki kami ko pura karnay kay liye gajar,tamatar or maltay ka russ piye or zayada sy zayada sabzi,phal or pani ka istamal karay.

Khoon ki kami or chehray ki rungat saaf karnay kay liye rozana apple kay chakor tukray thoray sy pani mai dal kar halki si bhaap dy lay or is mai aik chaye ka chamach shehad mila kar rozana subho khaye.

Mutapa Khatam Karnay Ki Tips


  • Mutapa khatam karnay kay liye aik cup neem garam pani mai lemon nachor kar pee lay is sy charbi ghatti h.
  • Nihar munh qehwa mai lemon nichor kar piye or yehi amal dupehar ko bi karay.
  • Aik chamcha muli kay danay lemon kay pani mai istamal bi mufeed h.
  • Raat ka khana khanay kay bad kalwanji mila pani piya jaye or salad ka khanay kay sath kasrat sy istamal karay.

Tamatar Kay Faiday


Tamatar khoon paida karta h is ka istamal danton kay liye mufeed h khoon ki taizabiyat ko door karta h bawaseer or tili ki bimari mai mufeed h.

Tamatar chahrar ki rungat ko nikharta h chehray ki rungat saaf karnay kay liye 4,5 adad tamatar graindar mai pees lay or phr is mai aik glass pani dal kar dubara graind kar lay kisi malmal kay kapray mai tamatar ka guday ko chan lay u apkay pass tamatar ka juice bach jaye ga is juice mai 5 chamach chini,5 chamach glaisreen dal kar isy halki anch par pakaye jab ghara honay lagay to utar kar thanda honay kay liye rakh dy is amizay ko kisi botal mai dal lay or mask ki tarhan istamal karaya or rozana chehray par lagaye is sy apka chehra fresh or khubsurat nazar aye ga.

Post a Comment

 
Top