Skin Allergy Treatment Cucumber Tips For Skin
Cucumber Tips |
Kheera aik halki or jisam ko tar o taza karnay wali sabzi h kheera gazaiyet sy bharpur or qudarti tor par vitamin or madniyat ka majmova h is mai mojood gazai ajza jisam mai kam karnay ki salahiyat ko barhatay hain or jisam ko mukhtalif bimarion sy larnay mai madad dety hain kheera hamay rozana ki khurak mai bator e salad lazmi istamal karna chahiye.
Baz logon ki skin boht hasas hoti hai chehray par allergy ho jati hai red nishan ban jatay hain jo kay bht buray lagtay hain Kheeray ki taseer thandi hoti h jo kay skin kay liye bht faiday mand h kheeray kay chand fawaid darj zail hain.
Cucumber Benefits
- Aik kheera lay uska kado kash kar lay us kado kash ko chehray pr lagaye or 15 minute tak laga rehny dy 15 minute bad apna face wash kar lay ap ki skin k rash khatam hona shoro ho jaye gay is amal sy apk face ko thandak milti h.
- Kheera jild kay dagh dhabay door kar kay inhay pur kashish or jazb e nazar banata h is say chehray ki jhuriyan bi gaib ho jati hain.
- Kheera hamary jisam mai pani ki kami ko door karta h.
- censer ki rok tham mai eham kirdar ada karta h.
- Kheeray ka rozana istamal wazan mai kami ka bais banta h.
- Jisam ko mukhtalif bimarion ka shikar honay sy rokta h.
- Is mai mojud gazai ajza kam kaj kay doran tawanai faraham karta h.
- Kheeray kay chilkay paist bana kar chehray pay laganay sy jild narm o mulaim ho jati h.
- Kheeray ko namak kay hamra khanay sy khoon or sifra ki hidat kam ho jati h.
- Kheeray kay chilkay ko paishani par rakhnay sy dard khatam or neend ati h.
- Nihar mun aik glass kheeray ka juice na sirf qowat bakhash h belkay motapay ko kam karnay mai bi madad deta h.
- Kheeray kay istamal sy taizabiyat or alsar say bachao mumkin h.
Post a Comment