Khushk Jild K Liye Bhaap Leny K Tareekay Tips For Dry Skin




Bhaap Tips In Urdu


Bhaap say sara mail kuchail nikal jata h massam k andar gird or mail k saray zarat nikal jatay hain jin hawateen k chahray ki jild khushk or khurdari hoti h unk liye bhaap behtareen tank h jis sy ink chahray ki khubsurti m izafa hota h or wo nikhari nikhari si nazar ati hain bhaap lenay say khoon ka dooran bi taiz ho jata h paseena ata h or is tarhan andar tak fasad maday kharaj hotay hain jin khawateen ki jild bohat chikni ho wo her roz bi bhaap lay sakhti hain ,or narmal jild wali khawateen her haftay bhaap lay kar jild ko sahi rakh sakhti hain jin khawateen ki jild khushk ho unko chahiye k wo her haftay bhaap lay or jin ki jild hasas ho wo bhaap na lay.


Sada tareekay sy bi bhaap li jati h kisi saaf bartan m pani pakaye sir pr toliya dall kar ankhon ko bhaap say bachaye 30 minute sy lay kar 10 minute tak bhaap leti rahay ye apki jild pr manhasir h bhaap lenay k bad chahray ko roi say saaf karay chahray or naak pr black had ho to unko toi say daba kar nakalay phr thanday pani say roi bagho kar chahray pr pharay ta ke masam bad ho jaye bhaap lenay sy pehlay koi bi cold cream lay kar chahray pr masaj karay phr isay roi sy khob saaf kar lay saaf roi jab ap chahray pr lagaye to wo sara mail jazab kar lay gi jab cream saaf ho jaye to phr ap bhaap lay bhaap k bad gulab ka thanda araq ya pani chahray pr roi k sath lagaye ubaltay pani m neem k patay or sonf k danay dall dy ye araq jild k liye bohat mufeed hota h.



Bhaap Lenay Ki Chand Zarori Tips


  • Apnay chehray ko pani kay bohat zayada nazdeek na lay jaye garam garam bhaap apkay chehray ko jhulsa bi sakhti h or khoon ki bareek vanes ko tor bi sakhta h. 
  • Agar ap chahy to gulab kay araq ki jagha lavendar rosemary bi istamal kar sakhtay hain. 
  • bhaap ka gusal lenay kay bad kam az kam 1 hour tak ghar sy bahir khuli hawa mai na jaye. 
  • Agar ap kilon ko daba kar bahir nikalna chahti hain to bhaap ka gusal lenay kay bad esa kar sakhti hain lekin ye amal toning or moisturizing sy pehlay sar anjam diya jana chahiye.

Post a Comment

 
Top