Wazan Kam Karnay Ke Tareekay


Ajkal logon ki aksareayet jismani kam karnay ki bajaye zehni kaam karnay ki ziyada koshish kartay hain dusray alfaz main log mehnat kash banany sy ziyada danishwar banany ke khawahan hotay hian sara din office main beth ker kam karna mamool ban chukka hai karobar or kam ke bohat ziyada dabao ki waja sy hum log khanay peenay ki taraf ziyada tawajah nahi detay or jo kuch zuban ko acha lagta hai wahi kuch khaye chalay jatay hain chahay panear or makhan sy laday burgur ho ya soday ki botlay halankeh is qisam ki gazayen hamari sehat ke liye hargiz achi nahi hoti.


Weight Loss Tips

 Is qisam ki masroof or kam karnay wali zindagi main hamaray pass matwazan gaza ke liye sochnay or warzish ke liye jim janay ka waqat kam hi hota hai yehi waja hai ke duniya bhar main mutapay marz barh raha hai Pakistan main bhi ab ap ko motay log pehlay sy ziyada dikhai dain gay adad o shumar ke mutabiq sirf America main mulki abadi ka 60 % esay logon per mushtamil hia jin ka wazan ziyada hai tahum wazan kam karna koi ziyada mushkil nahi life style main agar thori si tabdeeli ki jaye to wazan kam kiya ja sakta hai lekin is ke liye zarori hai kea p khudh ko is ke liye tiyar karain zail main apke samnay 6 asool paish kiye ja rahay hain jin ko apna ker ap apna wazan ko control main rakh saktay hain.


Weight Loss Tips


Pani Ziyada Piyain


Hamaray jism ko pani ki ziyada zarorat hoti hai pani hamaray jism ke fasid maday kharij karnay ke sath hamary jismani aaza or khulion ko zarori gazai ajzaa puhanchanay main madadgar hota hai iske alawa hamary jism sy her guzarty lamhay pani main kharij bhi hota rehta hai or hum agar pani na piye to hum D hayed ration ka bhi shikar ho saktay hian iske liye zarori hai ke din bhar main ziyada sy ziyada pani piye apni subha ka aagaz pani ke aik glass sy kijiye her khanay sy pehlay bhi pani ka aik glass pani piyain kaam per jatay howay apnay sath pani ki aik botel ly ker jayain hamary jism ko ruzana kam az kam 5 litter pani ki zarorat hoti hia lehaza ap ko jab bhi or jahan bhi yaad aye khoob pani piyain.

Phaal Khayain Or Juice Piyain


Phaal khanay or inka juice peenay s yap ke jism sy zehrealay maday kharij hotay jatay hain mukhtalif qisam ke phaal khanay sy hamary jism ko vitamin or awanai milti hai yehi waja hai keh ap ko jis qadar mumkin ho phaal khayain or unka juice piyain store’s sy milnay walay juices main masnoi mithas shamil ki jati hia agar ap juice peena chahtay hain to ghar per bina ker piyain agar ap samajhtay hain keh is main bohat ziyada waqat lagta hia to phi resay juice hi piyain jin per 100 % phaal ka russ ka laibel likha ho esay juice apke jism ke liye ziyada mufeed hon gay or in sy apko vitamin bhi ziyada milay gya.

Khoob Sabziyan Khayain


Agar ap apna izafi wazan kam karna chahtay hain to iske liye sabziyan kafi behter hain sabziyan intahai fitri gazain hain jin main mukhtalif qisam ke vitamins or madniyaat hoti hain jo hamaray jism ke liye bohat mufeed hotay hain sabzion main chiknai or calories kam hoti hain or sabziyan na sirf hamaray blood sugar ko control main rakhti hain belkeh blood cloistral or bari aant or deager aqsam ke cancer ke khatray ko bhi control karti hain yehi tamam cheezain hamaray wazan ko bhi control karnay main eham kirdar ada karti hain.

Bhook Lagay Tab Hi Khayain



Agar ao esi dawton main hotay hain or qitar dar qitar mazay mazay ke khanay paray hotay hain or ap lalchai hoi nazron sy inki janib daikh rahay hotay hain lekin agar ap motapay sy bachna chahtay hain to sirf is liye na khayain ke apke samnay khana para hain belkeh is waqat khayain jab apko iski zarorat ho baaz log waqat be waqat khanay peenay ke shoqeen hotay hain wo khanon ke darmiyan ya jab jab moqa milta hai to kuch na kuch khatay rehtay hain esa karna chor dain to ap apnay motapay per qaboo pa saktay hain.

Apna Khana Sath Rakhain


Apnay sath her waqat khanay ki esi cheezain rakhain jo sehat bakhash hon hum main sy aksar log bohat ziyada masroof hotay hain or hamaray pass itna waqat nahi hota ke khanay peenay ke silsilay main chonchalay karain lehaza is maqsad ke liye ghar per bana howa khana apny pass rakhain gosht sy banay sandwich khareednay ke bajaye sabziyan caret or salad khayain ya koi bhi vitamin sy bharpur gazayain apnay pass rakhain is tarhan ap apnay pait ko bazari chiknai bharay khanay ki cheezon sy bharnay sy bach jayain gay.

Warzish Zaroor Karain

Jism main jana or warzish karna sirf pathay banana main madad gar nahi belkeh is ke zariye hum wazan main bhi kam ker saktay hian warzish ker ke hum apni izafi charbi ko zail ker saktay hain belkeh hamara jism herket main rehnay ke liye bana hota hai lehanza warzish ya harket ke zariye hum apnay badan main tawanai paida ker saktay hian or unh hamain acha mehsos hota hai her haftay ke ikhtatam per apnay dabao ko kam karnay or izafi charbi kam karnay ke liye jim jayain ya ghar per hi koi jismani sargarmi karain agar ap ke pass waqat ho to rozana koi halki phulki warzish karain.

Post a Comment

 
Top