Wazan Barhanay Ke Asan Or Kar Aamad Nuskhay


Weight Gain Tips

Jis tarhan motay log pareshan hotay hain wazan kam karnay ke liye isi tarhan kuch patlay or kam wazan walay log pareshan hotay hain apna wazan barhanay ke liye to ap hamaray btaye howy in nuskhon per amal kar ke apna wazan barha saktay hain ye nuskhay bohat hi aasan or kar aamad hain.

Wazan Barhanay Ki Tips


Doodh jalaibi istamal karain.

Dahi main kaila dal ker istamal karain.

Nariyel ki giri ko kadu kash kar lain or aadh pao ya pao doodh main isko daal ker pakayain to kheer ki tarhan bun jaye gi or istamal karain.

Ublay howay aaloo or dahi ka ziyada sy ziyada istamal karain.

Apni khurak ka hamesha khiyal rakhain khanay main kabhi naga na karain.

Raat ko aik piyali cup main thanda pani lain or is main 2 ya 3 anjeer daal ker rakh dain Puri raat is anjeer ko pani main bheega rehnay dain or subho nihar munh anjeer isi hi pani ke hamra kha lijiye or is tareeqa amal ko rozana kartay rahain jald hi ap ka kam wazan barhanay laga.

Panch khajoorain rozana raat ko aik piyalay main bheego dain subho inki gutliyan nikla ker aik glass doodh main khajoorain shamil kar ke milk shake bna lain subho subho isay zaroor pee liya karain In,Shaa,Allah chand dino main hi wazan barhana shuro ho jaye ga.

Haftay main 3 sy 4 baar warzish lazmi karain q keh warzish karnay sy bhook lagti hai zahir si baat hai agar bhook nahi lagay gi to khayain gay kya agar khayain gay nahi to mota kesy hon gay mota honay ke liye apni khurak main protein ka ziyada istamal karain apnay zehan ko bilkul saaf rakhain or her tarhan ki manfi  batain nikal dain ap jitna ziyada khush rahain gay utani hi jaldi sehat mand banay gay poop corn cold drink ke sath istamal karnay sy jisam mota hota hia ye nuskhain mard o orat dono istamal ker sakhtay hain jo hadiyon ka dhanchah ban gaye hain unko tune up karnay ke liye lajawab hian.



Post a Comment

 
Top