Qudarti Tor Per Ankhon Ki Thakawat Ko Khatam Karny K Garelo Nuskhay






Ankhon Ki Thakawat Eye Fatigue Tips


Bila shoba ankhay hamari roh ki aina dar hoti hain lehaza inki daikh baal m bi be ehtayati nahi baratani chaiye yahan zail m hum ankhon ki kashidagi ko kam karny k chand moasar tareekay apki nazar kar rhy hain jin s yap behtar andaz m istafada hasil kar sakhtay hain. Ankhon ki jhunjhulahat door karny k liye dhaat k chamchon ka istamal ankhon ki thakawat ko khatam karny k liye sab sy sada or moasar tareeka ye h k dhaat do chamchon ko baraf sy bharay glass ya phr freezer m kuch minton k liye rakh dy jab dono chamach poori tarhan thandy ho jaye phr aik chamach ko ankh band kar k paiwatay pr kam aza kam aik minute k liye rakhay or phr doosry chamach ko bi ankh k paiwatay pr is andaz m rakhay is sy apki ankhon ki sojan or thakawat khatam ho jati hai.


Thanday Pani Ka Istamal


Apnay chehray pr kuch minton k liye thandy pani k chintay maray,ye amal bi apki ankhon ki kashidagi or khinchao ko khatam karta hai.


Kheeray K Tukron Ka Istamal


Kheera apni thandi taseer ki bina pr logon m behad pasand kiya jata h or is ka istamal ankhon k khinchao k liye be had mufeed h chonke kheery m (vitamin c) or (caffeic acid) wafer miqdar m mojood hoty hain is liye ye ankhon ki thakwat ko kam karny k liye bi moasar sabit hota h kheery k do patlay sy qatlay kat kar farij m thandy honay k liye rkh dy ankhay band kar k aram sy lait jaye or thandy qatlon ko farij sy nikal kar apni ankhon pr 5 sy 10 minute tak k liye rkh dy is k bad inhay hata kart handy pani sy chahry ko dhoo lay is amal sy apki ankhon ki thakawat kam ho jaye gi.

Post a Comment

 
Top