Shehad Sy Jild Khubsurat Karnay K Tareekay JIls KO Narm O Mulaim Bnanay K Totkay




Shehad K Fawaid


Jild ki khubsurti ko barqarar rakhnay m shehad eham kirdar ada karta h q k shehad m qudrat nay esi khasusiyat rahi hain k wo her qisam k bekteriya ko zail karnay ki salahiyat rakhta h isay khanay sy na sirf bimari door hoti h belke chahray pr laganay sy be ronaq or khushk jild bi taro taza ho jati h is k alawa chahray pr taza shehad ka laip denay sy kharab jild bi naram ho jati h esi khawateen jin ki jild khushk hoti h inhay chahiye k aik chamach shehad m aik chamach dhood or aik chamach badam rogan mila kar mask bana lay or 10 minut k liye chahray pr lagaye is sy jild taza dam or narm o mulaim ho jaye gi agar bohat taiz make up sy apka chahra khara ho gaya h to shehad is k liye bi mufeed sabit hota h.


Rozana 10 minute k liye khali shehad ka mask laganay sy b jild tkh ho jati h agar apk hath khurdary hain to rozana shehad ka masaj karnay sy hath narm o mulaim ho jaye gy 2 chaye k chamach kheeray ka russ lay is m aik chamach shehad or aik chamach dhood mila kar mask bana lay or chahray pr lagaye 10 minute laga rehnay k bad thanday pani sy mon dhoo lay is k alawa anda shehad or badam rogan mix kar lay or isay charay pr lagaye ye oily skin k liye bohat axha mask h.

Shehad kay mutalik bht sy logon ka kehna h kay ye ratobat zaa h yani qudarti tor par ratobat jazab karta h or jild ki nami bi barqarar rakhta h ye balon kay liye bi yaksan mufeed h ye her treatment kay liye bi istamal mai laya ja sakta h mutaleya sy ye baat samnay ai h kay gehray rung ka shehad apnay andar jism kay sells ko nuqsan puhchanay walay anasir say mehfooz rakhnay ki zayada qowat rakhta h or shehad ki ye be hisab khasosiyat hamay suraj ki shuaon sy bi mehfooz rakhti hain or hamay lambay arsay tak jawan dikhnay ka khubsurat ehsas bi bakhashti hain or shehad mai khasiyat bi h kay agar shehad ko pani kay sath istamal kiya jaye to ye hamary khoon mai 7 minute tak shamil ho jata h or hamary jisam ko taqat or tawanai bakhashta h.

Post a Comment

 
Top