Kaan K Dard Ka Ilaj Kaan KA Dard Kyun Or Kesy Hota Hai
Ear Pain Tips |
Kaan ka dard bohat pur dard hota h or ap shaded jhunjulahat ka shikar hoty hain jab ye dard hoat h to ap kuch karny k qabil ni rehty sawaye isk k bethay is pr kurty rahay kaan apk dimag k qareeb waqaya honay ki waja sy dard ki waja sy shaded damage dabao paida hota h kaam pr tawaja dena na mumkin ho jata h or barwaqt munasib alaj na ho to lagta h abi jaan chali jaye gi.
Na qablay bayan kaan k dard ki waja aksar kaan ka dard k mutadi hona h ye masla na sirf balgon or jawanon m hota h belke bachon ko bi dar paish ata h aik research k mutabiq,70% bachay 1 sy 3 saal ki age k duraan kaan k dard ka shikar ho jaty hain yahan gor talab baat ye h kaan ka dard achanak or fori hota h,is sy chutkara mumkin nahi lekin eham baat ye h k jab ye waqaya ho to foran iske alaj k tareekay apnaye.
Ear Pain Treatment In Home Remedies In Urdu
Zail m in sab tareekon ka zikar kiya jata h.
Garam takor karnay sy kaan k dard sy fori nijat hasil ki jasakti h lekin ye aik mukamal or mustakil alaj nahi belke sirf waqti tor pr sakoon muhaya karta h.
Is k alawa kaan k dard k alaj k liye dard kash adviyat jesy k brophan istamal ki jati h jawan or balig mareez to iski poori khurak istamal kar sakhtay hain magar bachon ko dawa khilanay sy pehlay doctor sy mashwara karna zarori h.
Aksar okat kaan k dard k liye aspirin istamal karnay ka mashwara diya jata h q k aspirin ko bi dard kash dawa tasawar kiya jata h.
Kaan k dard ka sab sy behtar alaj yehi h k munasib waqat pr doctor k pass jaya jaye ghar baith kar gharelo totkay istamal karnay ki bajaye doctor k pass jaya jaye warna masla barh bi sakhta h jis sy kaan ka dard barh sakhta h doctor k pass janay sy na sirf kkaan ka dard kam hota h barwaqt alaj sy kaan k dard ko barhnay sy roka bi ja sakhta h.
Ye sab wo tareekay hain jin k istamal sy kaan k dard ka ilaj mumkin h lekin,kehtay hain na parhaiz alaj sy behtar h is liye zarori h k ap apnay kanon ki hifazat kary,inki munasib safai karni chahiye jab mumkin ho sakhay doctor sy check up karwana chahiye.
Post a Comment