Ankhon Ki Hifazat


Eyes Treatments


Sardion mai amoman thand or khushk sard hawaon ki waja say ankhon mai sujan or kharish mehsos hoti h jiski waja say ankhay aksar kharab or dukhti rehti hain ye pareshani sirf mardo ko hi nahi.belkay orton or bachon ko bi hoti h agar apko bi sardion mai ankhon mai sujan or kharish ki shakayat hai to apbi in hadayat par amal karay (ye tips mardon,orton or bachon mai yaksan mufeed hain)


* Raat ko aik chamach fridge mai rakh day subho uthnay kay bad ankhon ko band kar lay or chamach    ki ubhri hoi side ko ankhon par halka sa dabaye is say ankho ki sujan kam ho jaye gi.

* Aye youga bi ankhon ki sujan or jalan kay liye mufeed h youga karnay kay liye pehlay ankhon ko        band kary ab ankhon ko 5,5 martaba left, right,up and down ghumaye chand second’s kay bad ye        amal dubara dohraye is say apki ankhon ko sakoon milay ga or jalan or sujan bi nahi ho gi.

* Ankhon mai sujan amoman raat ko paida hoti hai is liye raat ko sonay say pehlay eye care cream sy    masaj karay ankhon ki khushki kam karnay kay liye din mai zayada sy zayada pani piye.

* Is kay alawa ankhon ki sujan or jalan kam karnay kay liye eye drops jin mai rose petal oil mojood      ho wo bi mufeed hai.

Post a Comment

 
Top