Diabetes Ka Garelo Ilaj



Diabetes Tips In Urdu

Science mai abhi tak ziyabatees kay thek thek asbab maloom nai ho sakhay taham kuch asbab esy hain jo sugar kay khatrat ko barhanay ka sabab ban sakhtay hain jin mai motapa,gair mutwazan khurak ka istamal,bohat ziyada mithi,chiknai or proteen wali gazao ka istamal,asabi tanao,jismani sargarmion say doori or mojood dor k tarz e zindagi wagaira.


Karela


Sugar k liye karela nihayet hi pur asar or behtareen qudarti alaj h is sabzi ko kasrat say istamal karay rozana kam az kam aik chamach karelay ka sharbat zaror piye ye khoon or paishab mai shaker ki kasrat ko hairat angaiz tor par kam kar day ga.

Aamla


Aamla vitamin ki mojodagi ki waja say sugar ko control karnay kay liye nihayet hi pur asar juz h aik chamach aamlay kay russ ko aik chamach karelay kay juice mai mila kar piye or kam az kam 2 maheenay is ka istamal jari rakhay ye lablabay ko insoleen paida karny mai madad deta h.

Kari patay


Her subho 10 kari patay khaye or 3 month tak iska istamal jari rakhay ye motapay ki waja say honay wali sugar ki rok tham m madad deta h.

Apple ka sirka


Apple kay sirkay mai shamil gazai ajza khoon mai barhatay howay gulukoz kay level ko kam karnay ya qaboo karnay mai madad deta h 2 chamach apple kay sirkay mai aik chutki namak dalay or isay aik glass pani mai mix kar kay khanay kay bad piye.

Post a Comment

 
Top