Hathon ki jild ko khubsurat or jawan rakhnay kay totkay



Beautiful Hands Care Tips

Hath hamary jism ka intahai eham hisa hain roz mara zindagi kay bohat sary kamon mai hath istamal hotay hain lekin hum jism kay dusray hison ki nisbat inka kam khayal rakhtay hain q kay ye apna kam puri zindagi bakhubi anjam dety rehtay hain hath jism ka wo hisa hain jo dusron ko nazar atay hain hathon ki jild ka khayal rakhna nahayet hi zarori h ta kay apk hath khubsurat or jazib e nazar ho.


Apnay hathon ko din mai kam az kam 4 martaba moisturize karay is kay liye koi bi acha lotion use karay ta kay apk hathon ki jild naram or taro taza rahy.

Hathon ki jild sy murda khulion ko hataye is kay liye ap sumandari namak or lemon ka russ pani mai milaye or mehlol banaye purana tooth brush lay or is mehlol ko tooth brush ki madad sy hathon pay malay hafta mai 2 baar kary is sy apk hathon ki jild naram or khubsurat ho jaye gi.
Hathon ki jild ko tar o taza,narm o mulaim or khubsurat rakhnay kay liye neem garam doodh mai apnay hathon ko 5 minute tak daboye rakhay doodh mai mojood lactic acid hathon ki murda jild ko hata dy ga or apke hath khubsurat nazar aye gy.
Hathon ki rungat saaf karnay kay liye lemon kay araq or sirka ko barabar mila kar phantanay sy lotion ban jata h isay 4 roz mustaqil lagaye to hath saaf ho jaye gy.

Post a Comment

 
Top