Sardion ki pareshani ! Khansi or nazla zukam sy nijat




Sardion Main Health Ki Hifazat

Khansi qudarti jismani rad e amal h jo gardo gubar sy ati hoi ab o hawa or traffic kay dhooway ki waja sy ya balgami jhili pay infection ki waja sy hoti h khansi kisi sangeen bimari ki alamat ko bi zahir karti h agar khansi kai dino tak hoti rahay to isko tibi mahireen ki boht zarorat hoti h q k mustaqil aik month tak khansi ka mojud rehna khatarnak bimari ka alarm bi ho sakhta h.


Khansi khush or balgami bi ho sakhti h balgami khansi ki waja say safaid balgam say haray rung kay balgam mai tabdeel honay lagta h is ka rung mazeed gehray rung ki ho jaye to ye infection ki nishan dahi karta h khushk khansi falu or bukhar ki waja sy aik hafta bi reh sakhti h or dusri surat mai ye aik adat bi ban jati hain maslan bila waja khansana.

Idhar sard hawa chali nahi kay nazla,zukam or falu ki takaleef ghair leti hain chinkon kay shuro hotay hi naak behnay lagti h galay mai kharash,waram or sar mai dard ki shakayet shuro ho jati h or jism bukar sy tapnay lagta h is kay sath hi clinic mareezon sy abad honay lagta hain mahreen ka kehna h k nazla zukam honay par iska foran alaj karnay sy behtar h k 2 din intazar kiya jaye kisi doctor kay pass janay sy qabal garelo totkay ikhtayar karnay mai koi haraj nai jo log fori tor par adviyat istamal nai karna chahty wo garelo totkon par amal kar kay nazla zukam or khansi sy nijat hasil kar sakhtay hain.

Post a Comment

 
Top