Jagmagatay dant khubsurat muskurahat ki zamanat



Jagmagatay Danton Ke Totkay

Aksar khawateen chehray ki rungat ko nikharnay or balon ko lamba karnay kay liye to so tarhan kay jatan karti hain magar danton ki safai or khubsurti ko yaksar nazar andaz kar deti hain is surat e hall ka natija ye nikalta h kay tamam tar khubsurti mehangay libas or bhari make up kay bawajud shakhsiyat to achi lagnay lagti h magar jesy hi mazkora khaton kay hont muskuranay kay liye khultay hain to in kay andar say jhankatay howay danton par jama mail kuchail or sanson sau uthati badbu ass pass bethay howay logon kay liye shaded nagawari ka baies banti h is liye zarori h kay araish husan kay baqi tamam jatan kaarty howy danton jesy eham hisay ko bilkul bi nazar andaz na kiya jaye q kay muskurahat insani chehray par namodar honay wala sab sy khubsurat jazba h jo insan ki majmoi shaksiyat ko char chand laga deta h is liye zarori h kay baqi cheezon ki tarhan danton ki safai ka bi khas khayal rakha jaye q kay jagmagaty dant khubsurat muskurahat ki zamanat hain.


Danton ka peela pun door karnay kay liye til ka tail,lemon ka russ or namak mila danton par malnay sy danton ka peela pun door ho jata h khoon band or dard bi kam ho jati h.


Aik chamcha khanay wala meetha soda ,namak or suhaga lay kar aik botal mai rakh lay rozana is sy dant saaf kary danton ki pilahat door ho jaye gi.

Danton ki pilahat door karnay kay liye subha dant brush kartay waqat tooth paist ka brush par laga kar thora sa meetha soda ,namak or 2 qatray lemon ka russ dal kar dant saaf karay danton ki pilahat khatam ho jaye gi .

Post a Comment

 
Top