Balon Main Mehandi Lagany Ka Tareeka


Mehandi ka istaml qadeem misir sy howa tha is ke alawa mashriq e wasta or Hindustan main bhi is ka istamal kia jata tha ibtidaa main mehandi ko thandak ke hasool ke liya istamal kiya jata tha q keh mehandi azaa ko thandak puhanchati hia taiz bukhar ki kaifiyet main mehandi ko pees ker mathe per lagya jata tha taiz garmi or loo ke asraat ko zail karny ke liye bhi mehandi istamal karty thay garam mumalik main is ke istamal ki ziyada waja galban yehi hai raftah raftah mehandi ko khubsurti main izafah ke liye bhi istamal kiya janay laga mehandi ka behtareen istmal is ka balon main lagana hai is ke be shumar faiday hain jo ke darj zail hain.



Home Tips For Mehandi


Mehandi Ke Faiday

Mehandi aik behtareen conditioner bhi hai chemical rung balon ko bht nuksan puhanchata hai jab ke mehandi balon ki hifazat karti hai mehandi balon ke upar aik moti theh charha deti hai jis ke bais baal moty or condition ho jatay hain.



Mehandi ke istamal sy baal khubsurat ho jatay hain in main chamak a jati hai balon or sir ki jild ke liye ye aik umda cleanser bhi hai or detergent ke bar’aks ye sir ki jild ke qudarti tezabiyet ko zail nahi karny deti jo sehat mand balon ke liye aik lazmi juz ki haisiyet rakhti hai.

Mehandi Lagany Ka Tareeka


Ingaredients


Mehandi ………… khanay ke 3 chamach

Dahi ………………. 200 gram

Egg ……………….. 2 adad

Lemon juice ….. 2 chaye ke chamach

Coffe …………….. 2 chaye ke chamach

Method


In tamam cheezon ko achi tarhan mila ker paist bna lain or sir per yaksan tor per laga lain mehandi paist lagany ka asan tareeka ye hai ke comb ki mada sy balon ko mukhtalif hison main taqseem ker lain or phr her hisa main achi tarhan paist laga lain mehandi paist lagany ke bad inhain kapray sy lait ker band dain ta keh mehandi apni jaga per lagi rahay or girnay na paye is tarhan mehandi ko saaf larny main bhi asani rahay gi adhay ghantay ke bad balon ko dhoo lain apke baal chamkdaar or khubsurat ho jaye gay.

Post a Comment

 
Top