Nazla O Zukam Ke Nuskhe



Nazl O Zukam Home Remedies


Doodh main haldi thora sa adrak or chutki bhar peesi kali march mila ker pee lain.

Aik cup garam pani main 2 sy 3 khanay ke chamach apple ka sirka or hasb e zarorat shehad mila ker piyain.

Vitamin C,dhoop or taiz piyaaz ki khushboo nazla o zukam ka behtareen alaj hai ruzana aik gram vitamin c istamal karny sy bhi nazla o zukam main afaqa milta hai.



Aik bari piyaz kat ker kahin ird gird rakh lain or ruzana dhoop main kuch dair bathain.

Piyaz kat ker talwon per ragarny sy bhi nazla o zukam main faida hota hai.

Haldi sardi ya zukam sy mehfooz rakhti hai magar nazla o zukam sy araam a jany ke bad iska istaml mufeed nahi hota hai.

Murgi ka shorba nazla o zukam or thand main mufeed khiyal kiya jata hai is sy naak or galay ki sozish main bhi faida hota hai.

Namak milay pani sy gararay karna halaq ki sozish ke liye behter hota hia.

Post a Comment

 
Top