Narial Ke Tail Ke Fawaid
Narial Ka Tail |
Mashoor e aam cheez hai, Iska zaiqa meetha or khush mizaj hota hai, Iska rung bahir sy surk or andar sy white hota hai, Is ka mazaj garam or khushk dusray darjay main hota hai, Is ki miqdar khurak 2 tola hai, Is ke hasb e zail fawaid hain.
Narial Ka Tail
Iski khasosiyat makhan sy milti julti hain, Is main pai jany wali chiknai ki waja sy is ka istamal ziyada miqdar main na karna behter hai.
Narial Ka Meetha
Iska istamal aam chini ki nisbat qadray behter hai lekin aam chini ki nisbat iska istamal bhi mehdood rakhna chahiye.
Narial Ka Dahi
Is main chiknai ki miqdar dairy or soya ki dahi sy ziyada hai lekin is main carbo haidrate kam hotay hian is liye ye wazan kam karnay main madad gar ho sakti hia.
Narial Ka Goda
Is main madniyat or vitamin hotay hian lekin iski miqdar mehdood rakhain.
Narial Ka Doodh
Is main protein ki miqdar kam hoti hia,agar ap narial ka doodh istamal karana chahtay hain to koshish karain ke wo qisam khareedain jis main vitamin D or calcium shamil kiye gaye ho q keh ye cheezain qudarti tor per is main nahi pai jati.
Post a Comment