Adrak Sy Bimarion Ka Alaj


Adrak Ke Faiday


Maiday main jumlah amraaz main adrak mufeed hai ye dast awar bhi hai or qabiz bhi taza adrak peesi hoi adhi adrak chamach lijiye is main aik chamach pani,aik chamach lemon ka russ,aik chamach pudeenay ka russ or aikchamach shehad milaiye ye marakab wo log din main 3 baar chat lain jin ko matli,qeh,yarqan ya bawaseer ki shikayet hai,ye nuskhah in bimarion ka shafi alaj hai adrak ryah ko tehleel karti hai.

Bhook kam lagnay ki surat main adrak istamal kijiye pait ka dard or aphara door karnay ke liye bhi adrak khai jati hai agar apna hazmah darust rakhna chahtya hian to khanay ke bad taza adrak ka chota sa tukra chaba lain is nuskhay sy zuban ki mail bhi utar jati hai.

Adrak sy maida kai bimarion sy paak rehta hai agar jigar ki kharabhi ke baise pait main pani jama ho jaye to mareez ko adrak ka pani pilayain,ye pani paishab aawar hai or pait ka sara pani nikal deta hai.

Post a Comment

 
Top