Bukhar Ka Desi Alaj


Fever Ka Desi Ilaj


Agar bukhar garmi sy ho to imali ka pani pilayain.

Agar bukhar sardi ka ho,zukam ki waja sy ho to chaye peenay sy door ho jata hai.

Bukhar ke dino main muong ki daal chilkay smait pka ker khayain faida hasil ho ga.

Bukhar ke duran sirf phaal or sabzion ka istamal karain.

Taiz bukhar ki surat main pani main kapra bighoo ker sir sy paon tak yani puray jisam ko baar baar punchtay rehna mufeed hai.


Maithi esy paton wali sabzi hai jis ke istamal sy bukhar door ho jata hai.

Halkay bukhar ki surat main ganay ka russ pilana bhi mufeed hai.

Bukhar jesa bhi ho tamattar ka istamal karny sy bhi bukhar ka zor toot jata hai.

Nariyal ka pani bukhar ki hararat ko kamkarta hai bukhar taiz bhi ho to kam ho jata hai.

Post a Comment

 
Top