Garelo Urdu Totkay
Home Sweet Home Tips |
Kachray ke dibay mai akhbar bicha dy is tarhan akhbar chilkon wagaira sy nikalny wala pani jazab kar lay ga or apki kachray wali baskit khushk rahay ga.
Kailay la kar rakhay jaye to ye bohat jald kalay ho jatay hain or phir bachay inhay khana pasnd nahi karty inhay guchon ki shaqal main na rakhay q ke is tarhan ye bohat jald pak jatay hain iske bajaye inhay alag alag kar ke rakhay.
Apna matress saaf karny ke liye aik khanay ka chamcha fabric softner lay kar is mai thora sa backing soda milaye or poray matress pr chirak dy aik ghantay bad isy cleaner sy saaf kar lay na sirf gardo gubar saaf ho jaye ga balk e is mai chupay jaraseem bi khatam ho jaye gy or matress aik dam chamak uthay ga.
Machar ke katne sy kharish aye or nishan ban jaye to is per khushk sabun ki tikiya ragrain fori aram a jaye ga.
Cake katnay ke bad agar rakh diya jaye to us ka wo hisa sakhat ho jata hai jahan sy cake kata gya ho lehaza isay naram rakhnay ke liye cake katne ke bad jis hisay sy slice kata giya ho wahan double roti ka slice food pic ki madad sy chipka dy cake bilkul taza rahay ga.
Mobile phone ke screen per ban janay wali mamoli kharashain matanay ke liye in per thora sa tooth paist lagayein or naram kapray ki madad sy saaf kar lain.
Computer key board saaf arna kafi dushwar hota hai isay saaf karne ke liye apna purana mascara brush istamal karain is brush ki madad sy key board ki bareek jaghon main phansi matti asani sy saaf ho jaye gi.
Chehre per agar koi dana ya mhasa nikal aye to isay jaldi sy fori theek karnay ke liye steal ka aik chamcha garam kar ke danay per agaye dana foran theek ho jaye ga.
Kitchen ka counter per paray howay puranay or gehray dag mitanay ke liye haiderojan per oxide main ata mila ker paist bnayein or dagon per ragrain phir gilay kapray ya sponge sy saaf kar lain.
Istamal shuda tea bags ko khushk kar ke inhain juton main rakh dain is sy juton ki badbu door ho jaye gi.
Istari per paray howay dag mitanay ke liye in per tooth paste laga ker kuch dair ke liye chor dain phir naram kapray sy saaf kar lain.
Shoes polish such jaye to is main thora sa petrol mila lain,polish dubara istamal ke qabil ho jaye gi.
Mosam abar aalood ho or esay main kapray jaldi khushk karnay ho to geelay kapron ko washing machine ke dryer main dalain or inke sath aik khushk toliya bhi shamil ker dain kapray bilkul sukhay howay niklain gay.
Ghar main mujood kachray ke dabon baskets ki safai azhad zarori hai q keh in main her waqat her tarhan ka geela or khushk kachra dala jata hai yehi waja hai ke in main jraseem khub phaltay pholtay hain lehaza kacray ke dabon ko ruzana mehaz khali kar dena or in per shoper lga dena kafi nahi is ke bajaye kachray ke tamam dabon ko bilkul khali ker ke sponge ki madad sy andar or bahir isay achi tarhan dhoyain or sikhanay ke liye dhoop main rakh dain khas tor sy kitchen main rakhay janay wali kachray ki basket ko ruzana dhoyain.
Post a Comment