Facial Ka Tareeka Sekhain
Khwateen ye baat janti hain ke bharti umer ke sath jild main qudarti tabdeeliyan runuma hony lagti hain jin ki bar waqt daikh bhal zarori hoti warna barhapay ke asrat jild per namudar hony lagty hain jin ko chupana na mumkin ho jata hai jild sargary or botox jild ko jawan rakhnay ka dair pa tareeka nahi is ke asrat zail honay ke her thoray arsay bad hi mahreen amraz e jild ki khidmaat hasil karni parti hain kya hi acha ho keh is ke bajaye ap qudarti tareeka e kar apnayain aik to paison ki bachat ho gi dusry jild muzher asrat sy bhi mehfooz rahay gi.
Home Facial Treatments |
Chehray ki khubsurti or munasib nighedasht ke liye faishel her jild ki zarorat hota hai duniya bhar ke maya naz beautician is ke baray main mutfiqah raye rakhtay hain ke baqaida sy faishel karwanay sy jild waqt sy pehlay dhalkti nahi belkeh jhaiyan or jhuriyan bhi namudar nahi hoti hain qudarti ajzaa sy ghar bethay ap kis tarhan sy facial ker sakhti hain ayain apko sikhatay hain.
Homemade Faishel Tips
1) Wash Face
Facial karny sy pehlay chehray ko kisi achay miyari face wash ya arq e gulab saaf kar lain aam tor per khawateen chehray ko saaf karnay ke liye sabun ka istamal karti hain jis sy jild khushk or khudari ho jati hain chunachah jild ki khubsurti ke liye behter ye hi hai keh gair miyari or sastay beauty soap sy ijtanab karain lekin agar sabun ka istamal karna zarori ho to aisay miyari sabun ka intakhab karain jo jild ki nuksan puhanchaye bagair narmi or tazgi ka ehsas bakhsh day.
2) Bhaap
Achi tarhan jild ki safai karnay ke bad dusra marhalah hai bhaap dainay ka is tarhan masamon main mojud gandagi saaf ho jati hai chehray ko bhaap denay ke liye taqreeban aik litter pani ubal ker aik khulay munh ke bartan main nikal lain sath hi chehray per qudarti taro tazgi paida karny ke liye pudinay ki chaye ke 5 tea bags bhi pani main shamil ker lain bhaap leny sy pehlay towel sy sir ko lapait lain or chehray ka rukh pani ki janib karain 2 sy 3 minute ke waqfay sy pani main gehray gehray sans lain is baat ka khayal rakhain ke pani boht ziyada garam na ho.
3) Scrub
Bhaap denay ke bad apko jild narm mehsos hogi jis sy scrub karny main asani ho gi scrub ke amal sy jild ko tamam murda khulion sy nijat hasil ho jati hai ghrelo cheezon sy scrub tiyar karny ke liye apni zarorat ke mutabiq chini lain (pisi hoi chini sy khatir kwah nataij bar amad nahi ho sakhain gay,is liye danay dar chini lain) or is main munasib miqdar main zaitoon ka tail shamil karain ye amaiza itna garha rakhain keh scrubing ke duran chini sy jild per khurdaray pun ka ehsas na ho chehray ke sath honton per bhi halke hathon sy upper ki janib aik minute tak masaj karain albatah rogni jild ki hamil khawateen scrubing ke duran apnay t-zon jis main matha,naak,thori shamil hoti hai per ziyada dehan dain.
4) Mask
Jild sy bhaap or scrub sy masam khul jatay hain in masamon ko band karnay ke liye mask ka istmal zarori hota hai khushk jild per face cream ke sath lavender ke tail ke chand qatray shamil ker lain or mask ke tor per iski moti teh chehray per lagain rogni jild per anday ki safaidi main daliya (halka sa pees lain ta keh lagany main asani rahay) ko itani miqdar main shamil karain keh garha paist ban jaye phir is paste ko puray chehray per lagain or 15 minute ke bad dhoo lain.
5) Tones
Mask ke istmal sy jild chamak dar ho jaye gi chehray ki qudarti chamak barqarar rakhnay ke liye faishel ke ikhtatam per tones ka istamal lazmi hota hai ta keh khulay masam mukamal tor per band ho sakhain bazar main jild ki munasbat sy tones dastayab hain lekin ghar bethay tones bhi ghrelo qudarti ajzaa sy tiyar ker sakhti hain tones bananay ki tarkeeb ye hai ke apni zarorat ke tehat thanda pani lain or is main ¼ khanay ke chamach lemon ka russ shamil karain or isay bator tones apny shehray per lagayain apnay chehray ko gard o gubar or kil mahason sy mehfooz rakhnay ke liye maheenay main aik martabah faishel sy zaror istafada karain.
Post a Comment