Ghutnon Ka Dard Or Us Ka Allaj
Jodon Ke Dard Ka Allaj |
Knee Pain Tips
Ghutnon ka dard neya ho ya purana moth ke ladoo bna kker kkhayain dard door ho jaye ga.
Lehsen ko sarson ke tail main pka ker saaf karain or malish karain ye bhi I marz main mufeed hai.
Ghutnon ki balgami sujan ho to kachay aalo pees ker laip karty rehnay sy sujan khatam ho jati hai.
Maithi ko bhoon ker choty choty ladoo bna lain 10 din aik aik ladoo subha sham khanay sy faida hota hai.
80 gram pani main sunth 10 gram mila ker ubal lain is main chini ya shehad mila ker mareez ko pilayain.
Chaqander ka khana jodon ke dard ka acha allaj hai.
Piyaaz ka russ or sarson ka tail hum wazan lay ker dard wali jaga per saink karain.
Lehsen ko pees ker doodh main mila ker mareez ko pilayain.
Rozana lehsen ke tail ki malish karna mufeed hai.
Lehsen pees ker tilon ke tail main mila ker khanay sy boht faida hota hai.
Gajjer,chaqander or kakri ka russ mila ker pilana faia mand hai.
Agar ghutnon ka dard ziyada ho to kheera ziyada khanay sy ghutnon ka dard door ho jata hai ager aik turi lehsen bhi kha liya karain to faida hota hai.
Ager ghutnon ka dard ho to kachay aallo pees ker lagany sy ghutnon ki sujan or jor main kisi qisam ki bimari ho to jald aram mil jata hia.
Jodon ke dard ko door karnay ke liye vitamin sy bharpur phal khanay chahiye iske liye aam,chakotray,papeeta,malta or keino misali phal hain.
Week main kam az kam 2 dafa machli ka istamal karain.
Jodon ke dard main mubtila afrad kasrat sy aaro ka istamal karain to jodon ka dard boht had tak kam ho jata hai.
Lemon cheel ker chilkay jar main dal ker jar ko zaiton ke tail sy bhar dain jar achi tarhan ban ker ke aik haftay ke liye rukh dain is tail ko roi ke zariye jahan jahan dard ho raat ke waqat lagayain agar mumkin ho sakhay to is tail ko 3 sy 4 ghanton tak laga rehnay dain or dardon sy nijat hasil karain.
Post a Comment