Chotay Bachon Ki Mamoli Nigehdasht Ke Liye Chand Kar Aamad Tajaweez


New Born Baby Care Tips

Chotay bachon ke baray mai aik aam nazriya yeh hai ke baray bachon ki nisbat inki bunyadi zaroriyat ka khayal rakhna asan kaam nahi hai q keh ye chota Farishta hamaray gharon main dhairon khushiyan bakhairnay ka sabab banta hai lehaza hamaray liye apnay ghar ke naye rukan ki munsaib daikh bhal ki taraf tawaja dena nahayet zarori hai ghar ka ye neya phool jis tarhan apki tawaja ka markaz banta hai iski neend,khurak,waqat per kapray badalna,ehtayat ke sath isay god mai lena,ba hifazat tareeke sy bachay ko nehlana ye tamam batay apke chotay baby ki munasib parwarish or nigehdasht ke liye mufeed hain.


Baby Care Tips


Sab sy pehlay nozaida bachon ki daikh bhal ke liye ap hifzan e sehat ke asoolon ke mutabiq din bhar na sirf khud ko saaf rakhain belkeh apne ghar or khasosan bachay ke laitnay,uthnay,baithnay ki jagah ko bhi gandagi sy pak or saaf suthra rakhain.

Bachon ki munasib nigehdasht ke liye is baat ka khyal rakhna bhi zarori hai keh nozaida bachon ke khalonay or kapray saaf or narm o mulaim hain ya nahi,ta keh bachay esay kapray pehan kar aram o sakoon mehsoos karay bachon ke kapray taiz khushboo walay detergent main hergiz na dhoye jo keh nomolood bachon ki hasaas jild per kisi qisam ki allergy ka baise banay.

Iske alawa chotay bachon ki jild per kisi bhi qisam ke powder ka istamal na karay belkeh iski nisbat agar ap baby oil sy bachon ki khushk jild per narmi ke sath malish karay gi to ye nahayet mozon amal hai.

Chotay bachon ko esay ehtayat ke sath nehlaye ke inke jisam ke azaa tab ko zor sy na lagnay paye q keh inke jismani azaa bohat naram or nazuk hotay hain to esay main nozaida bachon ko nuqsan pohanchanay ka khadsha bhi hota hai.

Post a Comment

 
Top