Gharelo Totke Or Tips


Kitchen Care Easy Tips

Gharelo Nuskhe In Urdu

Piyaz ko farai karnay sy pehlay agar doodh main dabo liya jaye to piyaz khasta ho jata hai.

Cake mai andon ki boo door karnay ke liye agar is ke amaizay mai aik bara chamach shehad ka dal diya jaye to andon ki boo nahi ati.

Bhindion ko khasta karnay ke liye pakatay waqat is mai chand qatray lemon ka russ dal dy ya phir aik chamach dahi dal dy.



Sabzion ko talnay ke bad agar in mai tail zayada ho jaye to thora sa baisan dalnay sy tail khushk ho jata hai.

Agar kisi kapray per ghi ka nishan per jaye to is hisay per lemon or namak laga kar malay or sabun sy dhoo lay.

Agar chandi ka set kala per jaye to is per tooth paist laga kar ragray is ka rung nikhar jaye ga.

Lemon per namak laga kar isay chiknahat walay bartan par ragray chiknahat door ho jaye gi.

Kacha aam lay kar kat lay thoray sy pani mai ubal lay jab josh a jaye to is mai karelay kat kar dal dy 4,5 josh dain or karelay nikal lain karelon ki karwahat door ho jaye gi.

Ata gundanay ke thori dair bad is per papri a jati hai iske hal ke liye koi bhi plastic ki thaili lay kar chokor kat lay is ko pani mai geela kar lay or atay ko dhanp dain is ke bad ata fridge mai rakhay atay per papri nahi jamay gi.

Agar salan patla ho gya ho or apke pass tamatter ya piyaz nahi hai to bhuni hoi suji salan mai dal dy is sy salan garha ho jaye ga or zaiqa bhi acha aye ga.

Khana pkanay ke duran aik mom bati jla kar chulhay ke qareeb rakh dy to khanay ki khushboo sirf kitchen tak mehdood rehti hai.

Karelay ko lambai ke rukh katnay sy inki karwahat bohat kam ho jati hia inhay lambai mai kat kar namak laga kar aik ghaintay ke liye rakh day agar fori istamal na karnay ho to namak lga kar fareez kar lay dhonay ke bad khub mal ker pakaye.

Machli ki boo door karnay ke liye isko bagair dhoye namak laga ker 2 ghaintay ke liye rakh dain phir atay sy dhoo kar masala lagaye machli ki boo khatam ho jaye gi.

Nazla door karne ke liye thoray sy chanay bhati mai banwa kar garam garam sunghay or potli mai rukh kar paishani per sainkhay chanay khaye is sy nazla ki shidat kam ho jati hai lehson ki chatni or baisan ki roti nazla zukam main khaye.

Post a Comment

 
Top