Gurde Ki Pathri Ka Desi Allaj


Duniya bhar main her 11 main sy 1 shakhs ko apni zindagi main gurdon ki pathri ka samna hota hia mazi main ye shikayet aam tor per mard hazrat ko hoti thi magar ab nai tibi tehqeeq ke mutabiq khawateen main bhi ye amraz aam hota jar aha hai lekin ab ziyada pareshani honay ki zarorat nahi kuch gazai or tarz e zindagi ki adaat main tabdeeli la ker ap gurdon ki pathri ka shikar ho chukay hain to dubara iska samna karnay sy bach sakhtay hain yahan per esi wajuhaat darj ki ja rahi hain jo gurdon main pathri ka tashkeel ka khatra barha deti hain.



Kidney Stones Tips

Gurde Ki Pathri Ki Tips


Challi ke ball sari raat 2 glass pani main dal k chorh dain or or subho uno uball lain yani 2 glass pani ko itna ubalain keh 1 glass pani reh jaye phir usy chan lain ab isy neem garam pani main 2 tea spoon shehad or 3 tea spoon zaitoon ka oil daal ker nehar munh pee lain ye amal 3 din tak daily karain pathri raiza raiza ho ker gir jaye gi.


Shehad,lemon ka russ or zaitoon ke tail ko aik aik chamach adhay glass pani main hal ker lain or nihar munh pee lain 15 sy 20 din main pathri tehleel ho ker nikal jaye gi.

Aik kilo kachay doosh main aik kilo pani aik hi din main piyain In,Shaa,Allah pathri nikal jaye gi.

Sabz dhaniye ki taza gadi koi ski dandion samait grinder main achi tarhan pees lain phir isko chaan ker kisi botel main mehfooz ker lain pani itna milayain ke chananay ke bad glass bhar jaye her subho aik glass nihar munh pee lain In,Shaa,Allah 15 sy 20 din main wo pathri toot ker nikal jaye gi.

Gurde Ki Pathri Ke Asbab


Jab gazaa main namak ka ziyada istmal hota hia to ziyada miqdar main calcium ap ke gurdon main jama honay lagti hai jis sy gurdon main pathri ki tashkeel ka khatra barh jata hai agar to ap blood pressure sy mehfooz hain to ruzana 2300 mili gram namak ka istamal theek rahay ga.

Lemon,orange or graps smait esy hi daiger phalon main aik juz strait paya jata hai jo ke gurdon main pathri ka khatra kam ker deta hai tibi mahreen ka to mashwara hai ke lemon ka pani main istamal ruzana karna jism main pathri ka baise banany walay chemical’s ki tadad main kami karta hia.

Boht ziyada murgi or surkh gosht ka istmal bhi pathri ke khatray ko barha deta hai aik tibi tehqeeq ke mutabiq sabzion or machli khanay walon main gurdon ki pathri ka amkan esay afrad ke muqablay main 30 % sy 50 % kam hota hai jo ruzana 100 gram gosht khatay hain.

Agar to apke father ya mother main sy kisi ko gurdon main pathri ki shikayet reh chuki hai to ye khatra phir ap main bhi mujood hai iski wajah aik khandan ki gazai adaat mushtarkah hona hai jabkeh junyati asrat bhi bilkul suger ya motapay ki tarhan ullad per martub hotay hain.

Mutapay ka shikar khawateen main pathri ka khatra apni dubli patli friends ke muqablay main ziyada hota hai tibi mahreen ke mutabiq wazan ke nateejay main paishab ki nail main tabdeeliyan ati hian jis sy pathri ki tashkeel ka amal asaan ho jata hai.

Post a Comment

 
Top