Shehad Ke fawaid



Honey Treatments Home Remedies


1 Jisam ki faltu ratoobatain kharij hoti hain.

2 Lais dar balgam k aba asani akhraj mumkin hota hai.

3 Pait main parnay walay pani sy nijat mil jati hai.

4 Azaa ka dheela pun door ho jata hai.

5 Bari hoi tili sahi ho jati hai.


6 Paishab ki ziyadati sy nijat mil jati hai.

7 Balgami amraz sy nijat mil jati hia.

8 Sard mizaj walon ko piyaas ki shidat sy nijat mil jati hai or garam mizaj walon ko piyaas lagna shuroo ho jati hai.

9 Gurda or masana ki phatri toot jati hai.

10 Paishab or haiz ki rukawat door ho jati hai.

11 Mayday ko taqweeyat milti hai or nazar taiz ho jati hai.

12 Fasad damagi ratootbatain kharij ho jati hai.

13 Bhook na lagnay ki shakayet door ho jati hai.

14 Danton or mashoron ki shikayet sy nijat mil jati hai.

15 Shehad sy qaih karai jaye to maida puri tarhan saaf ho jata hai.

16 Shehad ke pani sy gararay kiye jayen to halaq ka waram door ho jata hai.

17 Shehad main sirka shamil kar ke kuliyan karnay sy masoorhay mazboot hotay hain or inka dheela      pun khatam ho jata hai.

18 Agar shehad ko lahori namak or piyaaz ke araq ke sath mila kar istamal kiya jaye to                              damah,ankhon or motiya band sy nijat mil jati.

19 Shehad ke istamal sy bachay ke doodh pilanay wali ma aka doodh barh jata hai.

20 Shehad ke khanay sy jigar ko taqwiyet milti hia.

21 Sirkay or namak main shehad mila kar chehray per lagay jaye to jhaiyan or daj dhabay saaf ho            jaye gay.

22 Zeeray ke pani main shehad mila ker khnay sy pagal kutay ke katay ke zehar sy nijat mil jati hai or      daiger zehar ke muzher asrat bhi door ho jatay hain.

23 Pait main pani bhar janay ki surat main 7 tolay pani main 2 tolay khalis shehad mila kar kuch arsa      baqaida istamal karnay sy pait apni asli halat per wapis a jata hai.

24 Hamal ki tasdeeq ke liye shehad main pani mila ker orat ko nihar munh pilaya jaye agar is sy orat        ke pait main maror ho to hamal hai warna nahi.

25 Shehad main lehsan pees ker chata jaye to bicho ka zehar utar jata hia.

26 Shehad balon per lagay jaye to jowain or likhain mar jati hian.

27 Qast ke safof main shehad mila ker chehary per laganay sy jhaiyan door ho jati hain.

28 Kisi chot ke sabab neal per gaya ho to shehad main namak shamil ker ke is per lagayain neal                khatam ho jaye ga.

29 Shehad ke baqaida istamal sy jismani harat barqarar barqrar rehti hai.

30 Cow ka ½ kilo doodh lay ker josh ker lain aik bara glass lay ker is main khalish shehad ke 2                chamach milain or phir aik glass sy dusray glass main ulat palat karain jesy ke halwai kartay hain        gin ker 101 baar ye amal karain phir doodh pee lain aik maah kea mal sy chehra surkh ho jata hai.

31 Agar ap apna wazan kam karna chahti hain to aik glass neam garam pani main aik tea spoon                shehad or chand qatray lemon ka russ mila ker piyain chand dino main khud hi pata chal jaye ga.

32 Shehad aam jismani kamzori ko khatam karta hai ye jisam ko tawana o tandrust banata hai.

33 Shehad khoon ko saaf karta hai.

34 Shehad or makhan mila ker doodh peetay bachay ke mshoron per mala jaye to bachay ke dant              aasani sy nikal atay hian.

Post a Comment

 
Top