Dant Chamkaiye


Khubsurat or motion ki tarhan chamaktay howay be dag safaid dant na sirf chehray ki dilkashi mai izafa kartay hain belkeh insan ki muskurahat or shakhsiyat ko bhi kamal kar detay hain,jinhain aik thori si tawajah or baqaida daikh bhal ke zariye khubsurat bnaya ja sakta hai.



White Teeth Tips At Home


Peelay, be ronaq or dag dhabon walay danton ki kai wajoohat hoti hain jis main danton ki rozana ki bunyad per safai ka khayal na rakhna,paan or tambako ka had sy ziyada istamal,sigrate noshi,chaye or coffee etc.ye tamam cheezain na sirf danton ko bad numa or be ronaq bnati hain belkeh danton sy mutalaq kai qisam ki khatarnak bimarion ka sabab bhi ban sakti hain.


Danton ko saaf suthra, chamakdar or pur kashish bnanay ke liye qudarti ajzaa per mushtamil totke nihayet hi mufeed sabit hotay hain or danton per hairat angaiz asrat martab kartay hain.

Neat And Clean Teeth Tips


Strawberry


Vitamin C sy bharpoor tursh strawberry ka istamal danton ke liye nihayet mufeed hai q keh is main shamil Malic acid danon ki bad numa rungat ko safaid karnay or chamak dar banany ke tor per jana jata hai, strawberry ko kuchal kar iska garaha sa paist bna lain ab iske goday ko ungali ki madad sy danton per lagain taqreeban 2 minute tak laga rehnay dain phir danton per halka sa brush ker lain.

Lemon Or Meetha Soda


Chand qatray taza lemon ke russ main chutki bhar soda daal ker brush ki madad sy danton ko ahistagi sy ragrain is sy na sirf danton ki pilahat door ho gi belkeh inki chamak main bhi izafa hoga.

Orange


Orange ke chilkon ke andaroni safaid hisay ko danton per halka halka ragrain ye chilkay anmal ko nuqsan puhanchaye bgair danton ko polish kar ke inhain safaid or chamak dar bna dain gy ap jitani martaba chahain inhain istamal kar saktay hain q keh is main danton ke liye koi khatra nahi hota.

Banana


Banana ka istamal danton ko safaid, be dag or chamak dar banany mai jadoi asar dikhata hai banana ke chilkon ke safaid hisay ko danton per golai mai ragrain chand dinon ke baqaida istamal sy hi behtareen nataij bar aamad hon gay.

Honey


Agar brush kartay waqat danton mai khoon a raha ho to honey or zaitoon ke tail ko mila kar danton per malay danton sy khoon ana band ho jaye ga.

Meetha Soda


Datnon per brush krtay waqat agar tooth paist per thora sa soda,namak or lemon ka russ daal kar brush kiya jaye to is sy dant yak dam chamaknay lagtay hain meetha soda saans ko khushgawar banany or peelahat ko door karnay mai madad deta hai.

Taiz Pata


Barabar miqdar mai khushk taiz patay or orange ke chilkon ko pees kar iska safoof bna lain or isko danton or masorhon ko ragrain danton ke liye be had mufeed sabit hoga.

Post a Comment

 
Top