Daireena Khansi Ka Ibtadai Mrahil Main Allaj Ker Lena Behter Hai



Bronchitis Treatments

Galay ki khrabi,halaq ki sozish,saans ki nail main kisi qisam ke infection ka janam lena ya phaiphiron ki khrabi,khnasi ka sabab banti hain khansi ka moasar allaj na honay ki surat main ye khatarnak shakal ikhtiyaar kar sakhti hai khansi chand dino ki ho ya ziyada dino ki ho ya khushk or shaded ho,is ka taluq nazam e tanafus ki gonagon bimarion sy hota hai in tibi allaj ke sath sath chand sada or gharelo nuskhay bhi bohat kar aamad sabit hotay hain shaded khansi amomam lag bhag 3 haftay rehti hai khansi ki chand deager aqsam theek honay main kabhi kabhi kafi waqat lay leti hain tahum khansi kisi bhi noeyet ki ho is ka allaj na honay ki surat main khatarnak shakal ikhtiyar kar sakhti hai.


Phiaphiron ki makhsos nalion mai musalsal nuks rehnay ki surat main bronchitis ka aarzah janam leta hai or ibtadai marhlay main mareaz ko khushk khansi ka samna hota hai agar is marhalay oer sahi allaj na ho sakay ti phiaphiron ki nalion main balgam jama hona shuroo ho jata hai is tarhan phiaphiray apna narmal function injam nahi day patay.



Mosaam Or Ihtiyaat



Saans ki takleef ya daimi khansi main mubtila mareazon ko sardion or bahar ke mosam ke agaz sy pehlay hi bohat mohtat ho jana chahiye q keh phiaphiron ki nalion main jama honay wali balgam nazlay zukam ke jraseamon ki amajgah ban jati hai jahan wo taizi sy nasho numa patay hian ye balgam kabhi kabhi shaded khansi ki surat main bhi bahir nahi nikalti nalion ko jakray rakhti hai or aksar phiaphiron ke mohlak infection ka sabab banti hai.

Bronchitis Sy Bachao Ke Tareekay


Hawa main name ka munasib tnasub saans ki bimarion or khansi wagaira sy bachnay ke liye nihayet zaroori hai is silsilay main sonay ke kamray main hawa main name ka tansub 45 sy 60 % ke darmiyan hona chahiye jari bootion sy tiyaar karda chaye or name khansi ke allaj or phiaphiron ki nalion ko kholnay kea mal main bohat mufeed sabit hoti hai.

Khansi Ke Khilaf Desi Nuskhay


Khnasi ka zor tornay ke liye halaq ko khushki sy bchana nahayet zarori hota hia is liye khansi ki shidat sy bachnay or galay ki sozish door karnay ke liye jari botion sy tiyaar karda goliyan chustay rehna chahiye seenay per hans ki charbi milnay sy khansi main bohat aram ata hai or is ki garmi phiaphiron ki nalion main jama balgam ko saaf karnay main bhi bohat madad deti hai lemon ke araq sy toliye ko tar kar ke seenay ko lpaitnay sy bhi khansi main aram ata hia,garam doodh main shehad mila kar peenay sy phiaphiron sy balgam saaf ho jata hai namak ke pani sy graray karnay or nam ke garam pani sy bhaap lenay sy naak or galay ki sozish main kami ati hai.

Post a Comment

 
Top