Shair Khawaron Mai Dant Nikalnay Ki Takleef


Baby's Teeth Problems Treatments 

Agar ap pehli baar baap banay hain ya maa bani hian to apko maloom hona chahiye keh apkay bachay ya bachi ka pehla dant mumkinah tor par 6 maah ki umer mai masrohay sy bahir namodar ho ga or ho sakhta h keh 2 ya 3 saal ki umer tak dant nikalnay ka silsila jari rahy is arsay kay duran dant nikalnay kay masail or mushkilat samnay a sakhti hain bohat sy shair khawar is arsay kay duran be arami mehsos kartay hain ye takleef qadray maatadal bhi ho sakti h jis mai wo hamah waqat maa ki god sy chipkay rehtay hain or agar inhay tanha chor diya jaye to asman sir par utha letya hain zindagi kay is dor mai wo behad zudrunj hoty hain,jhilahat or tunk mizaji aruj par hoti h dath nikalnay ki takleef agar shaded noyet kin a ho munh sy musalsal ral tapakti rehti h,dast lagtay hain or neend aksar uchat hoti rehti h shair khawaron mai dant nikalnay ki takleef ki aik makhsos alamat gal par surkh nishan ka ubharna bhi hota h.

ilaj


Jab bachay dant ki takleef sy be hal ho to behter hoga kay waldain apni ungali saaf kar kay isy shehad sy tar karay or bachay ya bachi kay masorhy par malay is tarhan isy aram milay ga kkhayal rahy keh shehad khalis or jraseem sy pak ho.


Bachay ko plastic ya nailon kay naram teether denay ki bajaye in hath mai chili hoi saaf suthri thandi kachi gajar pakra dy ye teether sy zayada faida mand ho ga lekindhayan rahay keh wo kahin isy masorhay sy daba kar tor na lay is tarhan gajar ka tota howa tukra halaq mai phans kar kahi masla na ban jaye.

Gajar ki tarha shair khawaron ko malaithi ki jar bhi chusnay kay liye bi ja sakti h.

Khatmi buti ki jar sy tayar shuda sharbat pilanay sy sujay howay masrohon ko aram milta h bachay nay agar thoos gaza leni shuro kar di h to is mai is sharbat kay chaye kay chamchy ki miqdar mila kar isy dy.
Sonf kay thory kuchlay howay danay adhay cup kholtay howay pani mai dalay or 10 minute tak isy pighnay dy bad aaza nathar kar thanda kar kay bachay ko pilaye,is khasandy sy bachay ko aram milay ga isi tarha Camomilo phool ki pation ka khasanda bhi mufeed h.

Dant nikalnay ki takleef mai bachay ko aram puhnchanay kay liye “Aroma Therapy”sy bhi madad li ja sakhti h “Launder Oil”kay chand qatray bachay kay sonay kay kapron par dal dy,is sy bachay ko neend aye gi cameo mail or launder ka tail bachay kay nahany kay pani mai shamil kar kay is sy nehlaye,iski be chaini kam ho gi.
Chaye kay aik chamchay ki miqdar shehad mai chand qatray cameo mail ail mila kar masorhy par malay aram mily ga.

Post a Comment

 
Top