Jild Ki Khushki door Karny Kay Tareekay/Hadayat



Khushk Jild Ki Hifazat

Jild hamary jisam ka eham azoo h jis ki hifazat or tandrusti bht zarori h baz alaqon main a saaz gar mahol ki waja sy jild bohat zayada mutasir hoti h is kay alawa sard or khushk mosam mai bhi jild par manfi asrat martab hotay hain or insani jild khushk or be rob ho jati h in tamam jild masail sy nabard azma honay kay liye darj zail hadayat di jar hi hain jin ki madad sy ap kushk jild sy nijat hasil kar sakhtay hain.


Tips For Khushk Jild


Jild ki khushki or rukha pun door karnay kay liye hamesha qudarti zaraiye ka istamal mufeed sabit hota h is liye zyada sy zyada qudarti khurak par inhesar kartay howay jild ki khushki ko door kiya jaye.

Khushk jild walay afrad or khawateen ko mumkin had tak garmi sy parhaiz karna chahiye khasosan suraj ki brah e rast shuaon sy bachna chahiye q kay suraj ki shuaon kay asar sy jild khushk or sakhat ho jati h or baz uqat is ka rung bhora or dagdar ho jata h.

Shaded mosmi asrat bhi hamari jild ko mutasir karty hain sardion mai pehla asar jild ko sukra deta h or jild ka amal mutasir honay sy jild khushk or bhadi ho jati h is liye jitna mumkin ho sakay sard or khushk mosam mai jild ko bachaya jaye.

Garmion kay bad sardion ka mosam jild ko zayada mutasir karta h q kay jild kay paseena nikalnay walay masam band ho jatay hain or jild ka baironi parda sakhat ho jata h or phora phinsi bhi nikalnay kay mawaqeya barh jatay hain is liye jild kay faal ko bahal rakhnay kay liye sardion mai baqaida warzish ki jaye or majmoi tor par sehat par tawaja di jaye.

Khanay mai taza sabziyan or phal istamal kiye jaye ta kay majmoi sehat bahal ki ja sakhay.

Khushk jild ko baironi tor par behter tareekay sy hal kiya ja sakhta h sardion mai neem garam pani mai chand qatray doodh ya 2 chamach khushk doodh kay mila kar nahanay sy mukamal jisam ki jild naram or tarotaza ho jati h.

Almond oil bhi khushk jild kay liye bohat mufeed sabit hota h is oil kay 8 sy 10 qatray aik tab pani mai hal kar kay is mai 20 minute tak nahanay sy jild ki khushki sy nijat hasil ki ja sakhti h.

Insani jild mai chehray ki jild deagar jild sy nazuk hoti h is liye ye zayada mosmi tagairaat sy mutasir hoti chehray ki khushki door karnay kay liye kai qisam kay moisturizing lotion or oil istamal kiye jatay hain lekin behter tor par sardion mai khushk jild kay liye adha chamach Vitamin E ka tail or adha chamach glaicreen lay kar apiz mai mix kar kay is mai 4 qatray lemon kay russ kay dal kar aamiza bna liya jata h jo khushk jild kay liye mufeed sabit hota h.

Sun block istamal karay ta keh suraj ki muzhar shuaon sy jild ko muqsan na puhanchay is lotion keh bad zayada garam pani sy munh na dhoye q keh garam pani jild kay masals ko mazeed kharab kar deta h ta hum hamesha thanday pani sy chehra dhoya jaye.

Jild ki khushki door karnay kay liye andha dhund moistures ka istamal na karay belkeh baqaida tor par aik kisi bhi achay qudarti moisture sy jild ko tandrust rakha ja sakhta h.

Post a Comment

 
Top