Shair Khawaron Mai Pait Ka Shaded Dard


Kids Pain Treatments

Baaz uqat choty doodh peetay bachay achanak rona shuro karty hain or inki ye gariyah o zari kisi tarhan thamnay ka name nahi leti q kay waldain ko wo apni takleef bata nahi saktay is liye ye masla khasa paicheeda ho jata h ansuon sy inka rona,chikhna chilana jari rehta h or kisi surat inko qarar nahi ata aam tor par is qisam ki surt e hall ko shair khawar kay pait mai dard sy tabeer kiya jata h pait ki is takleef ki khas baat ye hoti h keh is mai bacha kisi waqfay kay bagair masalsal rota rehta h or din ya raat mai jis waqat bhi wo rona shuro karta h dusray din ya dusri raat bhi taqreeban isi waqat ye silsila jari ho jata h.


Pait kay is dard ki waja sy be hal bacha apnay paon mor kar pait kay qareeb lay ata h or lagta ye h keh isy bohat dard mehsos ho raha h bachay kay zayada ronay sy wo hawa bhi zayada nigal raha hota h jis sy ye masla mazeed paicheda ho jata h or iskay bad pait mai bhi hawa bhar jati h jo reah ki takleef ka sabab banti h shair khawron kay  pait mai ye dard zayada q hota h?iski yaqeeni waja to nahi maloom ho sakhti ye mumkin h kay colon kay phailnay ya sukarnay sy ye dard ho raha ho ya agar wo upar ka doodh peeta/peeti h to maa ki gaza mai koi esi cheez shamil ho gai ho jo pait kay dard ki waja ban gai ho.

Wazeha rahay keh doodh,dahi,makhan or paneer wagaira sy parhaiz karna chahiye q kay ye dairy masnoaat  bachay kay pait mai dard ka sabab ban sakti hain ye bhi mumkin h keh bohat zayada ronay kay duran bar bar munh khulnay or band honay sy hawa ki bohat zayada miqdar pait mai puhanch gai ho or riyah ki waja sy dard ho raha ho shair khawaron mai jo sab sy aam pait ka dard dekha jata h wo seh mahi dard h amomam ye dard sham ko shuro hota h or chand minute sy lay kar kai kai ghantay jari rehta h peath thapthapa kar bachay ko Dakar dilana ya ghutnay kay bal usay latanay sy bhi koi faraq nahi parta.

Alaj


Black zeeray ko josh dy kar is ka araq thanda kar kay pani mai mila kar bachay ko pilaye ye araq bohat chotay shair khawaron ko bhi diya ja sakta h her baar doodh pilanay sy pehlay is ki 2 chuskiyan pilaye.

Pait ka dard chonkeh kisi be chaini,pareshani ya tension kay sabab bhi ho sakhta h maslan bacha bohat zayada shor sharabay sy tung ho ya iski neend puri na hoi ho to esi surat mai sakoon bakhash botiyan faida puhancha sakti hain unko bachay kay gusal kay pani mai mila kar ya inhay pani mai bhagoo kar khasanda kay tor par qadray thanda kar kay pilanay sy bhi aaram a sakta h.

Sonf ka tail agar bohat khafeaf miqdar mai doodh pilanay sy pehlay pait par mala jaye to bachay kay dard mai afaqah hota h isi tarahan pait par gulab, launder, camo mail or ajwain kay tail ki malish bhi dard mai mufeed h.

Bacha agar be arami sy muzmahil ho gaya h to launder oil kay chand qatray romal par dal kar is kay sarhanay rakh dy.

Agar ap apna doodh pila rahi hain to roz dairy masnoat sy parhaiz karay ta kay ye jaan sakay kay is sy bachay ko kuch aram milta h k nahi.  


Doodh pilanay wali maon ko ko dairy masnoat kay alawa taiz mirch masalon wali gaza,russ dar phalon or in ashiyaa sy bhi parhaiz karna chahiye jin sy pait mai gass banti maslan phaliyan,piyaz,aalo,band gobhi or shaker wagaira. 

Post a Comment

 
Top