Bimariyan Or Gharelo Totke



Bimarion Ke Gharelu Nuskhay

Kamzor Bainai


Agar bainai kamzor ho jaye to 4 badam aik chutki sonf sotay waqat roz khanay sy nazar taiz ho jaye gi.

Surili Awaz


Agar awaz baith jaye to gur dal kar chawal pakaye raat ko khub pait bhar kar khaye or kuch dair bad

garam pani kay 2 ghont pee lay 2,3 din esa kary awaz khul kar surili ho jaye gi.


Datnton Ka Dard


Danton kay dard kay liye zarori h keh ap rozana kisi achay tooth paist sy subho sham brush karay or agar kisi aik do dant mai dard ho to adrak ka tukra danton maid aba lay ya long ka tukra daba lay.

Kaan Ka dard


Kaan kay dard mai kaan mai ya pani chala jaye to koi dawa istamal karnay ki bajaye ultay paon chalny sy pani nikal aye ga .

Rogn e zaiton ya rogn e gull safaid anda hum wazan lay kar mix kar lay or kan mai chand qatray dalay dard gaib ho jaye ga.

Kamzor Hafizah


Hafizah behter banana kay liye thori si kali mirch or 3,4 badam lay kar pees lay or nihar munh khaye kuch hi dino mai qowat e hafizah taiz ho jaye gi.

Galay Ki Kharash


Bairi ki chal 135 gram anar ki chal 35 gram aik liter pani mai ubal lay or chan lay or is pani sy roz din mai 3 baar kuli karay.

Dubla Pun


Anjeer kam az kam 10 adad ronzana khanay sy dublay afrad motay ho sakhtay hain.

Mahasay


Anday ki zardi or til ko koot kar mix kar lay or phoray phinsion par lagaye dag or phinsi dono gaib ho jaye gy.

Bukhar Ki Shidat


Sirka or arq e gulab ko mila kar pani mai dalay or patiyan pani mai bhago kar sir par rakhay bukhar ki shidat kam ho jaye gi.

Damagi Kamzori


Subho nihar munh dhai tolay makhan ya 5 tola balai mai chini or kalwanji ka tail mila kar piye damage kamzoridoor ho jaye gi.

Abla


Agar jisam jal jaye to hara dhaniya pees kar jalay howay hisay par achi tarhan laip karay to abla nahi paray ga jalan bhi mehsos nahi ho gi.

Sir Ki Khushi


Kisi bartan mai itna pani lay kay apkay balon mai lag jaye is pani mai chand qatray Dettol kay dal kar achi tarhan sir kay balon mai lagaye or 10 minute kay bad sada pani sy sir dhoo lay sir ki khushki khatam ho jaye gi.

Naksear


Jin ki naksear phutati ho wo kisi bhi waqat ya khoon band honay kay bad dono nathnon mai aik aik taza lemon ka russ tapkanay sy naksear dubara nahi phutay gi.

Balon Ki Chamak


Rukhay balon mai chamak paida karnay kay liye sir dhonay kay bad aik mug pani mai lemon ka russ mila kar sir mai dalnay sy balon mai chamak a jati h.

Black Heads ka Khatma


Naak per achi si cold cream sy masaj karnay kay bad malmal kay kapray sy cream utar lay ab lemon kay russ dar chilkay naak per ragray or heads ko hathon sy daba kar bahir nikal lay.

Chehray Kay Nashanat


Garmi kay mosam mai dhoop sy chehray per nashan per jatay hain iskay liye aik lemon ke russ mai aik chaye ka chamcha shehad mila kar mask tiyar kar lay or 10 minute bad chehra dhoo lay nishan ahista ahista khatam ho jaye gy.

Garden Ki Safai


Aik lemon ka chilka taqreban adha cup pani mai ubal kar thunda kar lay ab is mai 4 khanay kay chamchay baisan ya itani hi miqdar mao joo ka atta or aik chutki haldi mila kar paist bana lay is sy garden ka msaj karay or pani sy dhonay kay bad kisi cream mai chand qatray araq e gulab mila kar lagaye ye masaj aik hafta masalsal karay is sy garden ki diyahi door hoti h.

Post a Comment

 
Top