Laal Mirch Sy Mukhtalif Bimarion Ka Ilaj
Bimarion Ka Ilaj |
Laal mirch jo ke khanon mai istamal hoti h jis ke istamal ke
bagair khanay bad maza or pheekay hotay hian khanao mai laal mirch ka istamal
khano ko khush zaiqa, mazay dar or teekha banati hai qadeem rawayet hai ke aik
cheez jo khanay mai pur lutaf hai wahi per wo cheez mukhtalif bimarion ko bhi
rokti hai isi tarhan laal mirch agar khanay ko zaiqay dar banati h to wahi is
sy mukhtalif bimarion ka ilaj bhi hota h laal mirch sy bimarion ka ilaj darj
zail hai.
Daant Ka Dard
Daant ke dard ke liye 4 adad saabut laal mirch ko aik pani
mai halki aanch per obalain jab pani aadha reh jaye to choolha band kar dain
jab pani neem garam reh jaye to is pani sy kulli karain daant ka dard khatam ho
jaye ga.
Pait Ka Dard
Daant ke dard ke liye jo pani banaya hai is main thora sa
namak or noshader mila kar pee lain or is pani ki malish bhi karain pait ka
dard door ho jaye ga.
Kaan Ka Dard
Is ke liye das sabut laal mirch ko tili ke tail main daal
kar halki aanch per josh dain jab mirch jal jaye to tail chan lain jab neem
garam reh jaye to chaar bondain kaan main dalain 15 minute main kaan ka dard
door ho jaye ga.
Kharish Ka Ilaaj
Kaan ke dard ke liye jo tail banaya he is tail ki subha sham
malish karain to kharish door ho jaye gi.
Khoon Ko Rokna
Agar zakham sy khoon behnay lagay to isay rokna bohat zarori
hota hai q keh zayada khoon behnay ki waja sy hamari jismani halat gair ho
sakti hai agar kahin bhi jisam per koi kat lag jaye ya zakham ho jaye to is per
surkh mirch laganay sy zakham sy khoon mikalna band ho jata h khoon behna na
sirf band ho jata hai belkeh is per lothra bhi jald ban jata hai jo ke aik achi
cheez hai jesy hi jisam per kahin zakham ho jaye to us per laal mirch chirak
dain khoon behna band ho jaye ga.
Post a Comment