Chiknay Baalon Kay Liye Asan Tip



Hair Growth Tips

Jahan khushk or be ronaq baal aik masla hain wahin chikny or patlay baal bi museebat ban jatay hain in balon ka masla qudarti tor par ghanay pun ki kami or zayada rogniyat hota h in ki jaray in ko Ghana pun nahi deti jis ki waja sy ye dhulnay kay bad seedhay or patlay magar chip chipay nazar atay hain jis ki waja sy khawateen bohat pareshan nazar ati hain is ka behtareen hal ye h kaya p hooded hair dryer ka istamal karay chunkay ye dryer sirf parlors mai dastayab hota h is liye apko dastyabi mai mushkil paish a sakhti h is liye hum apko is sy behtr or asan hadayat mai in balon ko set rakhnay or chiknay balon sy nijat kay liye kuch tarakeeb bata rhy hain.


Shampoo Kis tarhan Karay?


Chiknay balon kay liye hamesha dual shampoo sy parhaiz karay yani in shampoos sy jo 1 in yani conditioner free halat mai mujood ho q kay ye apkay balon ko mazeed patla kar dy gy or mazeed chip chipay mehsos hon gay hamesha halka shampoo istamal karay or ahar conditioner istamal karna bi ho to balon kay nichlay hisay mai karay.

Balon Ko Khushk Karnay Ka Tareeka


Balon ko hamesh jaron sy khushk karay or phir is kay bad inhay taqseem kar kay neechay sy khushk karay.

Style Kis Tarhan Banaye


Ap apnay balon ko ruler sy rol bi kar sakhti hain ye style ap per suit karay ga or bilfarz agar ruler dastayab nab hi ho to hair spray ka istamal karay ya koi esa hair style muntakhib karay jis mai apkay bal ghanay lagay jesy kay baby cut wagaira.

Post a Comment

 
Top