Danton Sy Nakhun Kutarnay Ki Adat Apki Sehat Ko Khatray Mai Dal Sakhti H




Health Care Treatments


Danton sy nakhun chabany ki buri adat sy yaqeenan apki dilkashi hi mutasir nahi hoti belkay nakhun kutarnay ki adat apki sehat ko bi mutasir kar sakhti h danton sy nakhun kutarnay ki adat itani zayada gair sehat mand h kay ap is ka tasawar bhi nahi kar saktay is baray mai kisi ko bht zayada hairani nahi honi chahiye kay her qisam kay jaraseem apkay nakhunon kay neechay pusheeda ho sakhtay hain jaraseems mai sab sy khatarnak jarseem “salmonila”or “e kolai” shamil hain nakhun kay kinaro kaya in neechay jo jaga hoti h wo in jarsomon ko phalny pholnay ka shandar moqa faraham karti h or ye samjnay kay liye apko kisi medical degree ki zarorat nahi h.


Ap jraseem ki is amajgah ko danton sy daba kar kutarnay ki koshish karay gy to ye koi sehat mand tafrihi mashgala nahi ho ga ye jraseem nakhunon sy nikal kar pehlay apkay munh or phr pait mai jatay hain or mayday or anton ka infection bantay hain jis sy aksar uqat dast lagtay hain or pait mai maror ki shikayet hoti h nakhunkutarnay walon ko “HPV” yani “Human Papilloma Virus”bhi lag sakhtay hain unglion sy munh tak pohanchanay kay bad ye virus danton kay masail or masorhon ki bimari ka sabab bantay hain jo log bari tundahi sy or mustaqil mazaji sy nakhun chabatay rehtay hain,in kay dant apni jaga chor kar tairhay mairhay ho sakhtay hain or uh munh ki khubsurti mutasir hoti h.

Nakhun Khanay Ki Adat Chornay Ka Asan Or Zabardast Nuskha

Neem Ka Tail


Neem kay tail ka karwa zaiqa apko nakhun chabany ki adat khatam karwa sakhta h kapas ki madad sy is tail ko ap apnay nakhunon pr lagaye jab ap nakhun chabany lagy to is ka karwa zaiqa aap ko munh sy hatanay par majboor kar dy ga.

Karelay Ka Tail


Nakhun chabany wali adat s yap asani sy chutkara hasil kar sakhtay hain karelon ko cheal kar is ka juice bana lay ab ap isko ungalion par laga kar khushk kar lay is ki karwahat bhi is adat ko jald khatam karny mai madad gar sabit hoti h.

Nakhun Nail Cutter Sy Kat Lay


Sab sy behtareen amal to yehi h kay nakhunon ko waqat par baray honay sy pehlay hi kat lay ta kay is qisam ki adat jald khatam ho jaye.

Koi Nai Adat Apna Lay


Bubble Gum ka istamal zyada sy zyada karay or sath sath gaza ka pura khayal rakhay ta kay is qisam ki adat ko khatam kiya ja sakhy.

Post a Comment

 
Top