Pait Ki Charbi Kam Karnay Kay Liye



Warzish Ke Fawaid


Pait ki charbi kam karnay kay liye ap nay bohat mehnat ki ho gi lekin agar apko faida nahi ho raha to pareshan na ho aj hum apko esy tareekay bataye gy jin par amal kar kay ap  pait ki charbi sy nijat hasil kar lay gy.

Side Plank


Pait ki warzishon mai sab sy mushkil warzish h jis ki waja ye batai jati h keh ap apnay tamam jisam ko 4 ki bajaye 2 points par khara kar rhy hotay hain.


Apni dono tangon ko jor lay or apnay bayen bazoo ko aik taraf karay or side par laittay howay apnay tamam jisam ka bojh apnay bayen hath or kehni par dal dy…ab apnay dayen hath ko apnay bayen kolhay sy lagaye ab sath hi apni kamar ko bhi side par lety howay uthaye or 30 sy 40 minute tak esy hi rahay ab dusri taraf ye warzish karay.

Position Up Push From Walkout


Is warzish mai apka tamam jisam harkat mai a jata h is tareekay mai apko neechay jhukna h or ahista ahista is position mai a jata h keh ap up push kar rhy hain or ab isi tarhan wapis purani halat mai a jata h is warzish ko 12 sy 14 bar duhraye.

The Dragal Ligator


Is warzish mai hamara tamam jisam warzish ka hisa hota h or hamary jisam kay hararay sab sy zayada kam hotay hain is warzish ko karnay kay liye kisi esi jaga ka intakhab karay jahan ap reangatay howay 10 sy 20 gaz taka gay ja sakhay ab up push position mai wazish shuro kar dy,apnay jisam ko agay ki taraf harkat dy or reangnay ki halat mai agay ki janib 10 sy 15 gaz tak harkat karay or phir isi jaga par aye jahan sy warzish shuro kit hi.

Post a Comment

 
Top