Chand Eham Garelo Or Mufeed Totkay
Gharelu Nuskhay |
Sardiyan anay par aam tor par garmion kay kapron ko sandooq,almari ya box mai rakh diya jata h is tarhan kapray kafi arsa aik jaga par bad rehnay sy badbo anay lag jati jo baz uqat kapray dhoonay sy bi nahi jati is sy bachnay kay liye kapron ko taih kar kay rakhay or inkay darmiyan mai khkushboo ki khali botal rakh dy is sy kapron kai mehak barqarar rhy gi.
Chawlo ko dair pa rakhnay kay liye kachay chawlon mai neem kay chand patay rakh dy is sy chawal dair tak mehfooz kiye ja sakhtay hain brown sugar ko dair tak mehfooz rakhnay kay lliye fridge mai rakhay.
Agar apkay fridge mai phaphondi lag gai ho to safaid sirka mai backing powder mila kar apnay fridge ki safai karay is sy phaphondi saaf bi ho jaye gi or dobara nahi lagay gi.
Agar apkay kitchen ki diwaray ya shalaf chiknai sy bhar gaye ho to sab sy phlay inhay thiner sy saaf karay phr koi naram toliya lay kar backing powder sy saaf karay jami hoi chiknai utar jaye gi.
Agar apaky balon mai chwengam chipak jaye to us jaga par thora sa shehad lagaye or kuch dair bad dhoo lay is tarhan apkay balon sy shipka howa chwengam utar jaye ga.
Wo log jinka blood pressure kam ho jata h rozana khajoor khaye is kay alawa lal chakandar ka istamal bi in kay liye behtareen h.
Apnay nashtay or raat kay khanay mai band ghobi ka istamal karay ye motapa kam karnay ka baise banti h.
Agar bachon kay pait mai dard hota h to unki naaf par garam heang lagaye is sy unkay maiday ka dard chala jaye ga.
Atay mai agar sundiya ya keeray [aida ho jaye to chand taiz patay lay kar unko atay kay upar neechay daal dy is sy atay mai sundiya or keeray paida nahi ho gay.
Sabzi ko taza rakhnay kay liye pani mai 2 chamach sirka mila dy or sabzi ko is mai bhago kar nikal lay ya yehi pani sabzi par chirak dy.
Thori si imli pani mai bhago dy thori dair bad jab imli naram ho jaye to hath sy khub mal lijiye or is imli walay pani sy bartanon ko khub ragriye bartan chamak uthay gy.
Paneer ko taza rakhnay kay liye is kay charo taraf namak laga kar kapra lapait dy to paneer kai hafton tak kharab nai ho gi.
Tamatar ko ghi ya tail mai talnay sy in ki asal khushboo or zaiqa barqarar nai rehta,tamatar ki asal khushboo or zaiqa barqarar rakhnay kay liye inhay charbi mai talay.
Kasrat sy istamal kay bad plastic kay bartanon,botlon par dag par jatay hain chiknai jam jati h is kay liye baray sy tab mai bartano kay hisab sy do char chamach kapray dhonay wala soda dal kar taiz garam ya pani mai bhago dy,aik ghantay wagaira par bi azma sakhtay hain nitaij hairan kun ho gay.
Post a Comment